Be Sabab Hi Safar Main Rehta Hoon
Main Kahan Apne Ghar Main Rehta Hoon
Meri Takmeel Hi Naheen Karta
Jiske Dast'e Hunar Main Rehta Hoon
Jur'at'e Faisla Naheen Hoti
Bas Agar Aur Magar Main Rehta Hoon
Nuqta'o Pesh Khud Hi Sanwrein Ge
Fikr'e Zer'o Zabar Main Rehta Hoon
Rok Le Ab Bhi Mujhko Girne Se
Main Teri Chashm'e Tar Main Rehta Hoon
Maang Ker Ek Dua'e Neem Shabbi
Justju'e Asar Main Rehta Hoon
Door Ufaq Paar Dhondta Kyoon Hay
Teri Hadd'e Nazar Main Rehta Hoon
Aate Jaate Kabhi Parao Kar
Main Teri Rahguzar Main Rehta Hoon
Jeene Marne Ke Bain Hay Jo Ussi
Lamha'e Mukhtasar Main Rehta Hoon
Ye To A'ejaaz'e Khudkashi Hay Ke Ab
Aalam'e Bala Tar Main Rehta Hoon
Kho Ke 'Shaheen' Taqat'e Parwaz
Khahish'e Baal~o~Par Main Rehta Hoon