Asar us ko zara nahin hota
Ranj raahat faza nahin hota
Tum hamaarai kisi tarah na huwe
Warna duniya me kya nahin hota
Na-rasaHee se dam ruKai to ruKai
Mein kisi se khafa nahin hota
Tum mere paas hote ho goya
Jab koi dusara nahin hota
Haal-e-dil yaar ko likhoon kyon kar
Haath dil se judaa nahin hota
Kyon sunnai arz-e-muztarib ae 'Momin'
Sanam aaKhir Khudaa nahin hota
Main bhi kitni pagal hoon na
Sang hawa k urna chahoon
Titli ban kar nagri nagri
Gulshan Gulshan phirna chahoon
Phooloon k sab rang chura kar
Chunri apni rangna chahoon
Main bhi kitni pagal hoon na