Khuda wo waqt na laaye ki sogawaar ho tu
Sukoon ki neend tujhe bhi haraam ho jaaye
Teri masarat-e-paiham tamaam ho jaaye
Teri hayaat tujhe talkh jaam ho jaaye
Ghumon se aaina-e-dil gudaaz ho tera
Hujoom-e-yaas se betaab hoke reh jaaye
Wafur-e-dard se seemab ho k reh jaaye
Tera shabaab faqat khawab ho k reh jaaye
Guroor-e-husn sarapa niyaaz ho tera
Taweel raaton mein tu bhi qaraar ko tarsey
Teri nigaah kisi ghum-gusaar ko tarsey
Khizan-raseeda tamanna bahaar ko tarsey
Koi jabeen na tere sang-e-aastan pe jhuke
Ki jins-e-ijz-o-aqeedat se tujh ko shaad kare
fareb-e-waada-e-farda pe aitmaad kare
Khuda woh waqt na laye ki tujh ko yaad aaye
Woh dil ki tere liye be-qaraar ab bhi hai
Woh aankh jis ko tera intezaar ab bhi hai.
Hussain Ke Dushman Ki Sab Se Bari Baat Yeh Hai
Ke Woh Hussain Ka Dushman Hai...