Har Sitam Jiska Gawaara Tha Kabhi
Haay Woh Zaalim Humaara Tha Kabhi.
Jhuth Ke Karan Mili Hai Ye Badnaami
Warna Sach Humko Bhi Pyaara Tha Kabhi.
Jaane Kitni Kashtiyan Doobi Wahaan Par
Suna Rakha Jo Kinaara Tha Kabhi.
Ab Use Hum Raakh Main Dhoonde Kahaan.
Hoslon Main Jo Sharara Tha Kabhi.
~HUSSAIN~ Sunte Hain Shayar Ho Gaya Hai
Warna Aadami Achha Tha Bichara Kabhi
Hussain Ke Dushman Ki Sab Se Bari Baat Yeh Hai
Ke Woh Hussain Ka Dushman Hai...