Koi ye kaise bataaye ke wo tanha kyoon hai
wo jo apna thaa wahi aur kisi ka kyoon hai
yahi duniya hai to phir aisee ye duniya kyoon hai
yahi hota hai to aakhir yahi hota kyoon hai
ik zara haath barha den to pakad le daaman
uske seene mein sama jaaye hamari dharkan
itni kurbat hai to phir faaslaa itna kyoon hai
dil-e-barbaad se nikla nahin ab tak koi
ik loote ghar pe diya karta hai dastak koi
aas jo toot gaye phir se bandhaata kyoon hai
tum asarrat ka kaho ya ise gham ka rishta
kehte hain pyaar ka rishta hai janam ka rishta
hai janam ka jo ye rishta to badalta kyoon hai....
Hussain Ke Dushman Ki Sab Se Bari Baat Yeh Hai
Ke Woh Hussain Ka Dushman Hai...