Bethe Bethe yonhi achanak kahin main khone lagti hon
Khud hi se Khafa khafa si main hone lagti hon,
Sochti hon jab bhi Uske dard-o-ghum ka aalam
Ho ke beikhtiyaar palkein main bhigone lagti hon,
Ek uska naam, uski yaad usi ka tassawur rehta hai aas paas
Jab bhi ankehin kholti hon subho, Raat jab bhi main sone lagti hon,
Wo ek baar Usne ne kaha tha mera naam Main ab thak gya hon
Aaj bhi us lehje ki thakan karke mehsoos,Bechain si main hone lagti hon,
Duaon pe apni mujhe bharosa bouhat hai sadiyon se
Ek yehi bharm dil mein liye,Khwab uske main sanjhone lagti hon,
Ek sheeshe ka ghar sang uske maine bana to liya hai
Dekh kar duniya ke haath mein pathar, khauf-zada si main hone lagti hon,
Dard chupata hai jab wo, dil se nahin faqt labon se muskurata hai jab wo,
Jane koan se ehsas se main tadap jati hon,bebasi mein main rone lagti hon,
Bethe bethe yonhi achanak kahin main khone lagti hon
Khud hi se Khafa khafa si main hone lagti hon
Main bhi kitni pagal hoon na
Sang hawa k urna chahoon
Titli ban kar nagri nagri
Gulshan Gulshan phirna chahoon
Phooloon k sab rang chura kar
Chunri apni rangna chahoon
Main bhi kitni pagal hoon na