Dasht e talab k weeraney main kab tak thokar khao gay
uska khoj lagane walo khud ko dhoond na pao gay
jins e wafa nayaab nayaab hui 'khairaat na koi daley ga
dil ka toota kaasa le ker kis kis derr pe jao gay
kaanch k tukrrey koun sameitey haath sabhi ko piyaare hain
bikhrey raizey chunte chunte apni ummer ganwao gay
kiun sehraaon main jaa nikla kiun deewana kehlaya
jin k haathon main patther hai un ko kia samjhao gay
hurf shanaas ho to tall'at* k chehre ki tehreer perho
lafzon ka to gorakh dhanda is ko kia suljhao gay
[IMG]

[/IMG]
Thousands Of Yesterdays Have Gone, Millions Off Tomorrows Come,BUT, There Is Only ONE "TODAY",So, Enjoy You TODAY & Don't LIVE In WHT IS NOT TODAY."
[SIGPIC][/SIGPIC]