|
|
Posts: 890
Country:
Star Sign:
Join Date: Jan 2009
Location: in the World without values
Gender:
|
|
Zindagi se Nazar Milaoo Kabhi
Haar ke baad muskuraoo kabhi
Tarq-e-ulfat ke baad umeed-e-wafa
Rait pe chal saki hay NAO kabhi
Ab Jafa ki sarha-tein bekaar
Baat say bhar saka hay Ghao kabhi
Shaakh se mauj-e-gul thami hay kahin
haan or naa say ruk saka bhao kabhi
Andhay zehnoo se sochnay waloo
Harf mein roshni milao kabhi
Baarishay kya zameen ke dukh baantaay
Aansoun say bhujaa hay Aa'laoo kabhi
Apnay Aasteen ki khabar rakhna....
Kashtiyaan tum agar jalaoo kabhi

Hun mein is ada se bhi aashna tujhe itna jis pe gharoor hai
mein jeon ga tere beghair bhi mujhe zindagi ka shaoor hai
Yeh pathron ka shaher hey - yahan to ansoo bhi jum jate hain
|