|
|
Posts: 63,598
Country:
Star Sign:
Join Date: May 2009
Location: In my Dream... world...
Gender:
|
|
Mujhe bekhudi ki hai aarzu,mujhe qurbaton ka khumaar day
Mere ang ang mein yun utar,mujh mein khud ko utaar day
.
Tu jo por por mein hai bas gaya,tau hai dooriyon ka jawaaz kiya
Meri zindagi mere pass aa,meri bay kali ko sanwaar day
.
Meri zindagi par muheet hain wohi wehshsatein wohi dooriyaan
Main khizan raseeda shaam hoon,mujhe apnay rukh ki bahaar day
.
Meri bay basi hai baja magar mere shoq ka bhi hisaab kar
Main siyah nasseb hoon jo agar,mera naseeb sanwaar day
.
Hai nazar nazar mein teri justuju,tu meri wafi ki hai aabru
Kabhi yun bhi ho mere ru-ba-ru mujhe jaan se hi guzaar day
.
Mujhe is tarah se tu yaad aa,teri yaad ka gumaan na ho
Tu mere khayaal mein yun sama,mera harf harf nikhaar day...!!!
|