MeraForum Community.No 1 Pakistani Forum Community - View Single Post - Woh dard k lamhy
View Single Post
(#1)
Old
Hussain Hussain is offline
Bas Ya Hussain
 


Posts: 30,796
My Photos: ()
Country:
Star Sign:
Join Date: Sep 2008
Location: Rockstar World
Gender: Male
Ams2 Woh dard k lamhy - >>   Show Printable Version  Show Printable Version   Email this Page  Email this Page   10-31-2008, 02:15 PM

Woh tou ek khuwab pareshan tha jo main ne dekha
Woh tou sab dard kay lamhay thay
Jo mujh per guzrey


Merey veeraan mah-o-saal
Merey sham-o-seher
Meri majrooh mohababat
Meri dermaan talabi
Sir dehleez-e-raqeebaan
Meri derveeza gari
Aankh main ashk nadamat kay
Tou merey cherey peh fishar-e-dil-o-jaan
mera mazi bhi andhera
mera farda bhi dhuwan
main kahan dhondta
khoi hoi hasti kay nishan
Tou yahan tha na wahan
Main yahan tha na wahan
Woh tou sab dard kay lamhay thay
Jo mujh per guzrey


Phir yeh kiyun hay
Keh mera jism mera khoon
Naa hoa khastar
Kaun iss dard kay dozakh main
Mah-o-saal tak jal key bhi
Estada raha
Zinda rehne per musir
Aur nai zeest ka dildada raha


Nai sajh dhaj say basar karne peh aamada raha
Bas isi dard kay dozakh ka raha hoon endhen
Abb jo ubhra hoon tou iss aag say kundan ho kar
Main nay iss husn ko paya hai bohat kuch kho kar



Apney bikhrey hoye pindaar ka reza reza
Chun raha hoon shab-e-sehra say sitaroon ki tarah
Apnay malbos dareeda kay pareshan tukray
Junbish-e-sozen ummid ki khayati say
See raha hoon keh mera ism barhana na rahey
Merey dareena hareefoon kay laboon per
Koi tana naa rahey
Mujh per qarz-e-gham-e-janan-o-ghm-e-dunya naa rahey
Woh tou sab dard kay lamhay thay
Jo mujh per guzrey


Aur abb main naye mausam main
Kisi shula-e-be baak kisi parcham-e-yazan ki tarah
Kurrah-e-khak main lehrane laga hoon phir say
Apnay khashak ko
Angaray say chamkanay laga hoon phir say


(Janaan Janaan)

 



Hussain Ke Dushman Ki Sab Se Bari Baat Yeh Hai

Ke Woh Hussain Ka Dushman Hai...

Reply With Quote Share on facebook
Sponsored Links