|
|
Posts: 63,598
Country:
Star Sign:
Join Date: May 2009
Location: In my Dream... world...
Gender:
|
|
Kabhii-kabhii yaad men ubharte hain naqsh-e-maazii mite-mite se
vo aazmaaiish dil-o-nazar kii, vo qurbaten sii, vo faasile se
kabhii-kabhii aarzuu ke sehraa men aa ke rukte hain qaafile se
vo saarii baaten lagaao kii sii, vo saare unvaan visaal ke se
nigah-e-yaar ko qaraar kaisaa, nishaat-o-Gham men kamii kahaan kii
vo jab milte hain to unse har baar kii hai ulfat naye sire se
bahut giraan hai ye aish-e-tanhaa, kahiin sabuktar, kahiin gavaaraa
vo dard-e-pinhaan ke saarii duniyaa rafiiq thii jiske vaaste se
tumhiin kaho rind-e-mustahib men ho aaj shab kaun farq aisaa
ye aa ke baithe hain mai-kade men, vo uth ke aaye hain mai-qade se
|