Kabhi kaha na kisi sey terey fasaaney ko
na janey kaise khabar ho gai zamaney ko
chaman main barq nahi chorti kisi sourat
tarha tarha sey banata hoon aashiyaney ko
suna hay ghair ki mehfil main tum na jao gai
kaho tu aaj saja loon ghareeb-khaaney ko
dua bahaar ki maangoon tu itne phool khilen
kaheen jaga na mili merey aastaney ko
chaman main jana tu sayyad dekh kar jana
akela chorr kar aaya hoon aashiyaney ko
meri lehed pe patangoo.n ka khoon hota hay
hozoor shamma na laya karain jalaney ko
daba k chal diey sab qab'r main dua na salaam
zara si dair main kiya ho gaya zamaney ko
ab aagey is main tumhara bhi naam aaey ga
jo huk'm ho tu yaheen chorr doon fasaney ko
zara bhi nahi tujh ko khouf_e_ ruswaai
chaley ho chandni shab main unhain mananey ko
And Your Lord Never Forget