|
|
Posts: 14,313
Country:
Star Sign:
Join Date: Aug 2008
Location: karachi
Gender:
|
|
21-Insaan Bhi kitna Ajeeb Hy,
Jab kisi Cheez se Darta Hy to Us se Dour Bhagta Hy.
Jab ALLAH Sy Darta Hy to Us k Or Qreeb Ho Jata Hy.
(HAZRAT ALI KARAM ULLAH WAJHO ANIL KAREEM)
22-Dunya Daron ki Sohbat ikhtyar Na karo Q K Agar tu Tang-dast huwa to ye tujhe Chorh Denge Or agar to Dolat-mand huwa to Tujh se Hasad karen gay.
(HAZRAT ALI KARAM ULLAH WAJHO ANIL KAREEM)
23- Acha Dost Kitni Dafa Hi Kiyon Na Ruth Jaye Usay Mana Lena Chahiye!
Kiyon K Tasbi K Daney Kitni Dafa Hi Kiyon Na Bikhrein Chun Liye Jate Hain!
(HAZRAT ALI KARAM ULLAH WAJHO ANIL KAREEM)
24- "Yeh na socho k ALLAH dua foran qabool kyun nahi karta,
yeh shukar karo k ALLAH hamaray gunaahon ki saza foran nahi deta.."
(HAZRAT ALI KARAM ULLAH WAJHO ANIL KAREEM)
25-4 Batain Elim Ka NIchour Hain,
1.) ALlah Ki Itni Ebadat Karo Jitni Tumhain ALLAH Ki Zaroret Hay.
2.) ALlah Ki Nafermani Itni Karo Jitna Allah K Azaab Per Saber Ker Saktey Ho..
3.) Dunya K Liye Itna Amal KAro Jitna K Tumhain Dunya Mian Rehna Hai,,
4.) Aakhrat K Liye Itna AMal Karo Jitna K Tmhain Wahan Rehna Hain....!!!
(HAZRAT ALI KARAM ULLAH WAJHO ANIL KAREEM)
26-Buaree main kisi ka sath dena Ghatiyapan aur khuda ky sath badiyanti hay.
(HAZRAT ALI KARAM ULLAH WAJHO ANIL KAREEM)
27-kisi ki madad kartay waqt us k chehray ki janib mat daikho, ho sakta hay us ki sharminda ankhain tumharay dil main gharur ka beej bo dain.
(HAZRAT ALI KARAM ULLAH WAJHO ANIL KAREEM)
28-"Golden Words"
"Her INSAN ki izat aur uss sy mohabat kro,Kion k her INSAN k ander KHUDA ki koi na koi sift zror mojood hoti hai"
(HAZRAT ALI KARAM ULLAH WAJHO ANIL KAREEM)
29-"Ebadat esi kro jis se tumhari ROH ko maza aey Q k jo Ebadat dunya mai maza na de wo Akhrat mai kia jAZAH degi"... .
(HAZRAT ALI KARAM ULLAH WAJHO ANIL KAREEM)
30-Barish ka Qtra Seep or Saanp 2non k Munh mein Girta hai
Lekin SEEP usay MOTI Aur Saanp usay Zehr bna deta hai
jis ka jesa Zarf wesi uski Takhliq
(HAZRAT ALI KARAM ULLAH WAJHO ANIL KAREEM)
|