Main lafzon mai kuch bhi izhar nahi karti,
iska matlab ye nahi k main tujhe pyar nahi karti ....
chahti hoon main tujhe aaj bhi par,
teri soch mei apna waqt bekar nahi karti...
tamasha naa ban jaaye kahin mohabbat meri .....
isi liye apne dard ko namoodaar nahi karti.....
jo kuch mila hai usi mei khush hoon main....
tere liye khuda se taqraar nahi karti ....
par kuch tou baat hai teri fitrat mein zalim...
warna Mein tujhe chahne ki khtaa bar bar nahi karti
Main bhi kitni pagal hoon na
Sang hawa k urna chahoon
Titli ban kar nagri nagri
Gulshan Gulshan phirna chahoon
Phooloon k sab rang chura kar
Chunri apni rangna chahoon
Main bhi kitni pagal hoon na