Phool Sarey Darghah Par Charha Diye
Kante Hii Bas Mere Paas Reh Gaye
Duayein Sari Tujpar Waar Di
Ashq Hi Bas Mere Paas Reh Gaye
Chahat Bharey Nagmein Tujko Sounp Diye
Un Nagmon Ke Sur Hi Bas Mere Paas Reh Gaye
Apne Kuch Qalaam Tujko Sounp Diye
Qalaam Ke Kuch Kagaz Hi Bas Mere Paas Reh Gaye
Kuch Rahon Mein Akele Chal Hum Diye
Tere Sath Ke Sapney Hii Bas Mere Paas Reh Gaye
Andhion Mein Akele Chal Hum Diye
Hosla Datey Tere Kuch Lafz Hii Bas Mere Paas Reh Gaye
Pahariyon Ke Aanchal Mein Kuch Aser Reh Gaya
Shayad Badal Ke Wapis Aaney Ka Ek Sapna Reh Gaya
Ek Kacchi Sarak Par Ek Nishaan Reh Gaya
Jaise Uss Nishaan Par Tera Pata Reh Gaya
Ek Dastak Dil Dewana Sun Gaya
Jaise Muqadar Hamara Tujse Jur Gaya
Hathon Ki Lakeeron Mein Kuch Aser Reh Gaya
Jaise Tere Naam Kii Ek Lakeer Kaa Aser Reh Gaya