Koi Tu Ho
|
|
Posts: 7,158
Country:
Star Sign:
Join Date: Feb 2009
Location: canada
Gender:
|
|
Roth gaye hain jo sathi un ko manaya jaye
Udaas hain jo dil phir aaj un ko hansaya jaye
Zindagi ka safar kaise kate ga ghamgin ho k
Honton par phir se tabassum ko sajaya jaye
Khwabon main reh kar jeena nai ha aasaan
Zindagi ki haqeeqat chalo sab ko bataya jaye
Jod le tukde dil k khushq kar lain aansoo apne
Dil pe lage zakhmon ko chalo ab mitaya jaye
Jo na mile aik manzil hain manzilain our bi
Aik naye safar pe chalo qadam badhaya jaye
Agar wo pochin tu un se kehna un ka aashiq basta tha yehan
Dikhana un ko wo peepal ka peid
our kehna gaane wo tenhai mein gungunata tha yehan
Le jana un ko darwaze pe our kehna intezar
wo kiya karta tha yehan
Phir rakhna ungli dil pe our kehna
Shikayat karta tha k dard hota ha yehan
~ Bikhre Lamhe ~
|