  | 
			
			
				
				
				
				
				
					
				
			 | 
			  | 
			
 
  
  				
				
				    Posts: 335 
Country:  
Star Sign:   
                                        
					Join Date: Apr 2009 
					Location: mumbai 
					
Gender:   
					
					     
				 
				
			 | 
		 
		 
		
	 | 
	
	| 
	
 
 
		
			
   
	
                
            	
		
		
		
		
		
		
ishq mein hum tumhe kya batayein 
kis qadar chot khaye huyenhe(2) 
maut ne humko mara he aur hum  
zindagi ke sataye hue he(2) 
ishq mein hum tumhe kya batayein... 
 
usne shadi ka joda pehan kar 
sirf chuma tha mere kafan ko 
bas usi din se jannat ki hure 
mujhko dulha banaye hue he 
ishq mein hum tumhe kya batayein... 
 
surkh ankho mein kajal laga hai 
rukh pe gaza sajaye hue he 
aise aye hai mayyat pe meri 
jaise shadi mein aye hue he 
ishq mein hum tumhe kya batayein... 
 
eh lahad apni matti se kah de 
dag lagne na paye kafan ko 
aj hi humne badle he kapde 
aj hi hum nahaye hue he 
ishq mein hum tumhe kya batayein... 
 
sharab isliye (filhal)mein nahi pita 
ke naptol ke pina mujhe pasand nahi 
tere wajud se angadayi leke nik lega 
woh mecce dah jo bhi botaju mein band nahi 
ishq mein hum tumhe kya batayein... 
 
unki tarif kya puchate ho 
umra sari gunaho mein guzri 
parzat ban rahe he woh aise 
jaise ganga nahaye huyehe 
ishq mein hum tumhe kya batayein... 
 
na ab muskurane ko ji chahata hai 
na ansu bahane ko ji chahata hai 
hansin teri ankhein, hansin tere ansu 
yehi dub jane ko ji chahata hai....  
 
dekh saqi tere mecce dekah 
ek pahucha hua rind hu mein 
jitne ayehe mayyat pe meri 
sabke sab hi lagaye hue 
 
ishq mein hum tumhe kya batayein 
kis qadar chot khaye huyenhe 
ishq mein hum tumhe kya batayein...
 		
		
   
			 
            
                
            
	Kya ye alfaz un ulfat patan woh, jakke shamma ke nazdik dekho...			
			 
		
		
		
		
	
		
		
	
	
	  |