 |
|
|
Posts: 2,387
Country:
Star Sign:
Join Date: Sep 2008
Location: Norway
|
|
kabhi kisi ko mukammal jahan nahin milta
kahin zameen to kahin aasman nahin milta
jisay bhi dekhiyay woh apnay aap mein goum hai
zuban mili hai magar hum zuban nahin milta
kabhi kisi ko mukammal jahan nahin milta….
bujha saka hai bhala kaun waqt kay shoulay
yeh aisi aag hai jis mein dhuaan nahin milta
kabhi kisi ko mukammal jahan nahin milta….
teray jahan mein aisa nahin kay pyar na ho
jahan umeed ho iski wahan nahin milta
kabhi kisi ko mukammal jahan nahin milta
kahin zameen to kahin aasman nahin milta..
Hawa ban kar bikharney se
Usey kya farq parta hai
Mere jeeney ya marney se
Usey kya farq parta hai
Usey to apni khushiyon se
Zara bhi fursat nahi milti
Mere gham ke ubharney se
Usey kya farq parta hai
|