|
|
Posts: 120
Country:
Join Date: Aug 2010
Location: still wondering
Gender:
|
|
kisi dhokey mei mara gaya hoo
us ki nazro se utara gaya hoo
muqabla karoon bhi tou kis ka
apni muhabbat se lalkara gaya hoo
jab bhi chaha zindagi ko mei nei
bohat aziyat sei mara gaya hoo
tamanna karne sei ab baaz aaya
her baar me dhutkara gaya hoo
mujrim e muhabbat ki jab baat ho
mei hi pukara gaya hoo
suno gei ke mujh pei hai kia guzri ?
zinda lehed me utara gaya hoo
dekho meri jabeen ka rang
khak e wafa se sanwara gaya hoo
dikha ke noor muhabbat ka
ek aag sei guzara gaya hoo..
[SIGPIC][/SIGPIC]

|