tumhari bheegi palko sei mei nei baarha poocha
kia dil ke kheil jeetne walei bhi rotey hain
wo jin ki chshm e kudh been auro ko dekha nahi karti
bhala kis gham me dil ke taar me moti pirotey hain
tumhari bheegi palko sei mei nei baarha poocha
kia manind e sheesha pather me bhi baal ata hai
asar angez hai abtak muhabbat ka yah jazba
jo aisey hosh mando ko bhi youn pagal banata hai
tumhari bhegti palko sei mei nei baarha poocha
mizaaj e husn me yak baik yah kaisa inqilab aya
sitaarey dekhna aur dekh kar afsurda hojana
bari takheer sei tum ko sitaaro ka hisaab aya
tumhari bheegi palko sei mei nei baarha poocha
keh tark e rabt pe kia mujh sei wehshi yaad atey hain
talluq torna asaan tha tou kio ankh yah nam hai
ana parwar, jafa paisha bhi ansoo bahatey hain
tumhari bheegi palko sei mei nei baarha poocha
ke jalne aur jalanei me bhlaa kia lutf ata hai
bus ek choti si ana ke wastey barbaad hojana
khudi ke zom me insaan kitnei dukh uthata hai...
ایک تیرا ہجر جو بالوں میں سفیدی لایا
ایک تیرا عشق جو سینے میں جوان رہتا ہے
And Allah is All Enough For Me (Al-Quran)