mujhey apne junoo ka yaqen hai, go tera zabt bhi kam nahi
per jo dua dua tera naam lia, tou hoga Khuda ka kaisey karam nahi
me zindagi ki hai kahani yahi, mujhey sehel kabhi kuch mila nahi
jo taqdeer ko mei nei kudh likha, tou raha ab us ka bhi bharam nahi
mujhey dosto sei gila nahi, me dushmano sei bhi khafa nahi
dunya ke hain dastoor yahi, duli hai nai koi rasam nahi
mei tayar tha merei hamnasheen, teri rag o jaan me utarne ko
per tum bhi kuch badguman sei they, kabhi mana mujh ko sanam nahi
jo nazar chura ke tum chal diye, mujhey phir bhi kudh pei yaqeen hai yah
jo utar jao nazar sei wo tuim nah, jo nikal jain dil sei wo hum nahi
meri tujh se rishta hai kuch ajab sahi, rasmo qasmo sei bohat parei
tu us muqam pei hai aye dost, jaha pohanchi koi qasam nahi
jo mila tha mera namabar, mera lahoo tha jo gard huwa
tera naam jo likha tha ansoon se, raha ab wo bhi nam nahi
mei shikasta pa tha jo mila tujhey, tu ne nai manzilo ka pata dia
phir tere rastey jo me chal para, phir rukei merei qadam nahi
jis ore chala me deewana waar, wo roshni tere wujood ki thi
meri haq hai teri khulwatein, chaiye aur koi bazam nahi......
ایک تیرا ہجر جو بالوں میں سفیدی لایا
ایک تیرا عشق جو سینے میں جوان رہتا ہے
And Allah is All Enough For Me (Al-Quran)
Last edited by Shaam; 10-21-2010 at 01:19 AM..