|
|
|
Posts: 52,341
Country:
Star Sign:
Join Date: Dec 2009
Location: RAWALPINDI
Gender:
|
|
|
kisi k ishq mai ikk pal nahee'n zamana kiya
safar hayat ka ham nay tau shayrana kiya
hazar daagh tamanna hazar daagh e firaq
hamesha zakhmo'n se dil ko nigar khana kiya
tamam umr safar mai guzar di ham nay
kahee'n qayam na ham nay kahee'n thhikana kiya
dil aaya jiss pe usee par lutadi jan e aziz
k zinda ham nay mohabbat ka ye fasana kiya
hamesha aankho'n se meri lahoo tapakta raha
meri wafa ka kisi ne bhi haqq ada na kiya
mili hai khoo ye wirasat mai ai ZAFAR ham ko
k jiss say pyar kiya ham nay walehana kiya
|