 |
|
|
Posts: 16,987
Country:
Star Sign:
Join Date: Dec 2009
Location: Islamabad
Gender:
|
|

deepak jugnoo chaand sitaary aik say hain...
yaani saary ishq k maary aik say hain...
hijr ki shab main daikh tu aa k mery chaand...
mery aansoo aur yeh taary aik say hain....
daryaa hoon main bair bhanvr ko kya janoon...
mery liye tu dono kinaary aik say hain....
meri kashti kis nay duboyee kya maaloom...
saari Lehrain saary dhaary aik say hain....
kuch apne aur kuch be-gaany aur main khud....
meri Jaan k dushman saary aik say hain....

And Your Lord Never Forget
|