ab bhala chhor ke ghar kya karte
shaam ke vaqt safar kya karte
teri masrufiyaten jante the
apne ane ki khabar kya karte
jab sitare hi nahin mil paye
le ke ham shams-o-qamar kya karte
vo musafir hi khuli dhuup ka tha
saye phaila ke shajar kya karte
Khak hi aval-o-akhir thahri
kar ke zare ko gauhar kya karte
raye pehle se hi bana li tune
dil men ab ham tere ghar kya karte
ishq ne saare saliqe bakhshe
husn se kasb-e-hunar kya karte