Great Urdu Poets&Poetry Share All Great Urdu Poets Poetry Here |
Advertisement |
![]() ![]() |
|
Thread Tools | Display Modes |
(#1)
![]() |
|
|||
Aur to koi bas na chalega hijr k dard k maron ka aur to koi bas na chalega hijr k dard k maron ka subah ka hona dubhar kar dein rasta rok sitaron ka jhuthe sikon mein bhi utha dete hain aksar sacha mal shaklen dekh k sauda karna kam hai in banjaron ka apni zuban se kuch na kahenge chup hi rahenge ashiq log tum se to itna ho sakta hai pucho hal becharon ka ek zara si bat thi jis ka charcha pohuncha gali gali ham gumnamon ne phir bhi ehsan na mana yaron ka dard ka khna chikh utho dil ka taqaza waza nibhao sab kuchh sehna chup chup rahna kam hai izzatdaron ka Ibn-e-Insha
|
Sponsored Links |
|
(#2)
![]() |
|
|||
Darwaaza khula rakhna Dil dard ki shidat se hoon gashta wasi para, Is sheher mein mein phirta hai ik wehshi o awaara, Shaayer hai ke aashir hai, Jogi hai ke banjaara, Darwaza khula rakhna, Seeney se ghataa uthey, ankhon se jharri barse, Phaagan ka nahin badal, jo chaar ghari barse, Barkha hai yeh bhadon ki, Barse to bari barse, Darwaza khula rakhna, Ankhon mein to ik aalam, Ankhon mein to dunya hai, Honthon pe magar mohrain, Mu'n se nahin kehta hai, Kis cheez ko kho betha, Kya dhoondne nikla hai, Darwaza khula rakhna, Haan thaam mohabbat ki gar thaam sake dori, Sajan hai tera saajan, Ab tujh se to kya chori, Yeh jis ki manaadi hai basti mein teri gori, Darwaza khula rakhna, Shikwon ko utha rakhna, Ankhon ko bacha rakhna, Ik shamma dareechey ki chokhat pe jala rakhna, Mayoor na phir jaye, Haan paas wafaa rakhna, Darwaza khula rakhna, Darwaza khula rakhna. Ibn-e-Insha
|
(#3)
![]() |
|
|||
Dasht parta hai miyan ishq mein ghar se pehle dasht parta hai miyan ishq mein ghar se pehle chal diye uth k su-e-shahar-e-wafa ku-e-habib puch lena tha kisi khak basar se pehle ishq pehle bhi kiya hijr ka gam bhi dekha itne tarpe hain na ghabraye na tarse pehle ji bahalta hi nahin ab koi saat koi pal rat dhalti hi nahin char pahar se pehle ham kisi dar pe na thithak na kahin dastak di saikaron dar the meri jan tere dar se pehle chand se ankh mili ji ka ujala jaga ham ko so bar hui subah sahar se pehle Ibn-e-Insha
|
(#4)
![]() |
|
|||
Dil hijr k dard se bojhal hai, ab aan milo to behter ho Dil hijr k dard se bojhal hai, ab aan milo to behter hai, Is baat se hum ko kya matlab, yeh kaise ho yeh kyun kar ho? Ik bheek k donon kaasay hain, ek pyaas k donon pyaase hai, Hum khaiti hain, tum baadal ho, hum nadiya hain tum saagar ho! Yeh dil hai k jalte seene mein, ik dard ka phora alhar sa, Na gupt rahe na phoot bahe, koi marham ho koi nishtar hai, Hum saanjh samay ki chhaya hain, tum charhti raat k chandar maan Hum jaate hain, tum aate ho, phir mail ki soorat kyun kar ho! Ab husn ka rutba aali hai, ab husn se sehra khaali hai, Chal basti mein banjaara ban, chal nagri mein saudagar ho, Jis cheez ki tujh ko nisbat hai, jis cheez ki tujh ko chahat hai, Woh sona hai woh heera hai, woh maati ho ya kankar ho, Ab Insha ji ko bulana kya, ab pyar k deep jalana kya Jab dhoop aur chhaya ek se hon, jab din aur raat barabar ho, Woh raaten chaand k saath gayin, woh baatein chaand k saath gayin, Ab sukh k sapne kya dekhein, jab dukh ka sooraj sar par ho… Ibn-e-Insha
|
(#5)
![]() |
|
|||
Dua Ya Allah! Khanay ko Roti Day Pahananay Ko kapra day rahnay ko Makaan day Izzat aur Assodgi ki zindagi day Mian Yah bhi koi manganay ki cheez hay, Khuch aur maanga kar! Baba ji aap kiya mangatay hain? Main? May yah cheezein nahi mangata. May tu kahta hoon Allah miyan mujhay Iiman day, naik amal karnay ki tofeeq day! Baba ji aap theek maangtay hain Insaan wohi cheez tu mangta hay Jo uskay paas nahi hoti. Ibn-e-Insha
|
(#6)
![]() |
|
|||
Farz karo farz karo ham ahl-e-wafaa hoN, farz karo diivaane hoN farz karo ye donoN baateN jhuuTii hoN afsaane hoN farz karo ye jii kii biptaa jii se joR (?) sunaayii ho farz karo abhii aur ho itnii aadhi ham ne chhupaayii ho farz karo tumheN Khush karne ke dhuuNde ham ne bahaane hoN farz karo ye nain tumhaare sach-much ke maiKhaane hoN farz karo ye rog ho jhuuTaa jhuuTii peet hamaarii ho farz karo is peet ke rog meN saaNs bhii ham pe bhaarii ho farz karo ye jog-bijog kaa hamne Dhong rachaayaa ho farz karo bas yahii haqiiqat baaqii sab kuch maayaa ho Ibn-e-Insha
|
(#7)
![]() |
|
|||
Ham un se agar mil baithte hain kya dosh hamara hota hai ham un se agar mil baithte hain kya dosh hamara hota hai kuch apni jasarat hoti hai kuch un ka ishara hota hai katne lagin raten ankhon main dekha nahin palakon pe aksar kabhi sham-e-gariban ka jugnu kabhi subah ka tara hota hai ham dil ko liye har des phire is jins ka gahak mil na saka ai banjaro ham log chale ham ko to khasara hota hai ham apni zaban se kuch bhi kahen shayar hai khayalon se khelen a jao to baham mil baithe kabhi hijr bhi pyara hota hai daftar se uthe kaife main gaye kuch sher kahe kuch kafi pi pucha jo muash ka 'Inshaji' yun apna guzara hota hai Ibn-e-Insha
|
(#8)
![]() |
|
|||
Insha ji ! uThTho ! ab kuuch karo Insha ji ! uThTho ! ab kuuch karo, is sha'hr meN jii kaa lagaanaa kyaa vahshii ko sukuuN se kyaa matlab, jogii kaa nagar meN Thikaanaa kyaa is dil ke dariidaa-daaman ko dekho to sahii, socho to sahii jis jholii meN sau chhed hue us jholii ko phailaanaa kyaa shab biitii, chaaNd bhii Duub gayaa, zanjiir paRii darvaaze meN kyuN der gaye ghar aaye ho, sajnii se karoge bahaanaa kyaa us husn ke sachche motii ko ham dekh sakeN, par chhuu na sakeN jise dekh sakeN par chhuu na sakeN vo daulat kyaa vo Khazaanaa kyaa us ko bhii jalaa dukhte hue man, ik sholaa laal bhabhuukaa ban yuN aaNsuu ban beh jaanaa kyaa, yuN maaTii meN mil jaanaa kyaa jab sha'hr ke log na rasta dekheN, kyuN ban meN na jaa vishraam kare diivaanoN kii sii na baat kare, to aur kare diivaanaa kyaa Ibn-e-Insha
|
(#9)
![]() |
|
|||
Jog bijog ki baten jhuti sab ji ka bahlana ho jog bijog ki baten jhuti sab ji ka bahlana ho phir bhi ham se jate jate ek gazal sun jana ho sari duniya aql ki bairi kaun yahan par sayana ho nahaq nam dharen sab ham ko diwana diwana ho tum ne to ik rit bana li sun lena sharmana ho sab ka ek na ek thikana apna kaun thikana ho nagri ngari lakhon dware har dware par lakh sukhi lekin jab ham bhul chuk hain daman ka phailana ho tere ye kya ji main ai khinch liye sharma kar hont ham ko zahar pilane wali amrit bhi pilwana ho ham bhi jhute tum bhi jhute ek isi ka sacha nam jis se dipak jalana sikha parwana mar jana ho sidhe man ko an daboche mithi baten sundar log 'Meer', 'Nazeer', 'kabir' aur 'Insha' sab ka ek gharana ho Ibn-e-Insha
|
(#10)
![]() |
|
|||
Kal chaudhwin ki rat thi shab bhar raha charcha tera kal chaudhwin ki rat thi shab bhar raha charcha tera kuch ne kaha ye chand hai kuch ne kaha chehra tera ham bhi wahin maujud the ham se bhi sab pucha kiye ham hans diye ham chup rahe manzur tha parda tera is sheahr mein kis se milen ham se to chuti mahfilen har shakhs tera nam le har shakhs diwana tera kuche ko tere chor kar jogi hi ban jayen magar jangal tere parbat tere basti teri sahra tera ham aur rasm-e-bandagi ashuftagi uftadagi ehsan hai kya kya tera ai husn-e-beparwa tera do ashk jane kis liye palkon pe a kar tik gaye altaf ki barish teri ikram ka darya tera ai bedarg-o-beaman ham ne kabhi ki hai fugan ham ko teri wahshat sahi ham ko sahi sauda tera tu bewafa tu mahraban ham aur tujh se bad-guman ham ne to pucha tha zara ye waqt kyun thehra tera ham par ye sakhti ki nazar ham hain faqir-e-rahguzar rasta kabhi roka tera daman kabhi thama tera han han teri surat hasin lekin tu aisa bhi nahin is shakhs k ashar se shohra hua kya kya tera beshak usi ka dosh hai kahta nahin khamosh hai tu ap kar aisi dawa bimar ho acha tera bedard sunani ho to chal kahta hai kya achhi gazal ashiq tera ruswa tera shayar tera 'Insha' tera Ibn-e-Insha
|
![]() ![]() |
Bookmarks |
Tags |
collection, ibne, insha, poetry |
|
|
![]() |
||||
Thread | Thread Starter | Forum | Replies | Last Post |
~!~ [ My Collection of Mix Poetry... ] ~!~ | ~!~hasnain~!~ | Members Poetry Collections | 10 | 02-15-2013 09:12 PM |
My fav Poetry Collection....... | pakeeza | Members Poetry Collections | 96 | 12-13-2012 09:18 PM |
Ibne insha | ROSE | Great Urdu Poets&Poetry | 10 | 09-14-2011 08:03 PM |
'' My CoLLeCtioN Of SaD PoEtRy'' | ~ Sanam Khan ~ | Miscellaneous/Mix Poetry | 15 | 03-12-2010 05:40 PM |
**Poetry Collection** | !~*AdOrAbLe*~! | Miscellaneous/Mix Poetry | 8 | 12-02-2009 07:34 AM |