Your Own Poetry !!! Post Ur Own Poetry Here !!! |
Advertisement |
![]() ![]() |
|
Thread Tools | Display Modes |
(#1)
![]() |
|
|||
Nazm Ab bhii waabastaa haiN Guzishtaa se Pewistaa woh saare zamenn ab bhii Khushboo deta he PhoolouN se aarastaa door kisi dais kaa kumhlaayaa huwaa purana chamen ay booo-ye-gul-e-janaaN tuu aazurdah na ho Ab bhii jii uth.te haiN BaharouN maiN boseedah damenn Dill he ke kisi goshaa-e-aafiyat maiN simet jaataa he soch ki doahraiN khill uth.tii haiN kushadah daaman-e-gul ke sab pairahan ab bhii jii uth.te haiN zehn maiN Us zameeN ke dhundhlaye huwe sulagte huwe yaadouN ke sehann Chalo ke ab lahoo maiN phir se TazaH HerfouN se pewand kari ker lete haiN Chalo ke phir se yaad karte haiN Us maazi se lipte huwe komal dopahar ke sab kushadah daaro rasenn Waqt zalim he Ju qaid-e-tenhaayii kii Zanjeer hilaa detaa he Her nyaa palll Guzishtaa pal se us kii taqdeer mila deta he ab ye ham pe laazim he ke guzishtaa saddi kii Her tasveer jalaa daalaiN Ke ab ye malzoom ho giaa he beete huwe lamhouN kii KHanaktii huwiii paazaib Utaar phainkaiN May 2012
|
Sponsored Links |
|
(#2)
![]() |
|
|||
|
(#3)
![]() |
|
|||
|
(#4)
![]() |
|
|||
|
(#5)
![]() |
|
|||
|
(#6)
![]() |
(#7)
![]() |
|
|||
|
(#8)
![]() |
(#9)
![]() |
|
|||
|
![]() ![]() |
Bookmarks |
Tags |
bhi, hain, wabastaa |
|
|