Ghamgheen/Sad shayari !! Share Only Ghamgheen /Sad shayari Here!! |
Advertisement |
![]() ![]() |
|
Thread Tools | Display Modes |
(#1)
![]() |
|
|||
Ma to kehta tha Meri paristeesh na kar!! Meri uryan hatheli pay palkoan k andar chHupi khwahesoan k sitary Na chuun Meri qasmoan ma leptay howy wasal waday say Apni reshmi chahtoan k kinary na bun’ Mery lafzoan pay mat ja K na motbir lafz fasl e khezan ki hawa ma bekharty howy zard patoan ki awaz hien mery paoan k talwoan pay ya qowat-o-marjaan hontoan k moti nechawar na kar ma to khta tha jazboan ki mu zoor aandheoN k rastay ma itny deya mat jala apni khwaishoan k tapaty howy dasht ma by jehat karty bagoloan ki khali hahtailei pay shafaf khwaboan k resham ma leptay howy jognoouN k gohar mat sajaa mat saja sazishe sorejoan k moqbil shokh aienay ma tu khta tha chahat ki sari lekrien sub he zaiqay sub he rutien dhoop chaoan k andhay adhoray safar say obhahrti hoe gard ki tehh ma posheeda manzar k banty bigarty khado khal ka estaara samjh gardesh-e-roz shab ka eshra samjh dekh apni jawani ki jalti hoe dophar ma koe khwab dekha na kar mery hathoan ki yakh bastage pay sar e sham socha na kar mujh say itne aqeedat ache mery nazdik aa mery tan ma otar meri bahoan k angan ma bekhri hoe dhop ma ban sanwar mujh say kesa hazar? Mujh ko “apna”samjh Mery nazdik apnayat say bhra koi rishta nahin Meri chahat ka koi taqaza samjh Mery andar ka insaan koi farishta nahin Or…………….ab Tery rothy howy lafz! Gajron k sokhy howy phool!! Ankhoan ma bekhry howy ansoan k gohar! Tery masoom jazboan k such ki mosalsaal gawah he…mgr Ma tu khta tha meri parestish na kar
|
Sponsored Links |
|
(#2)
![]() |
|
|||
kahon kis say qisaa e dard o ghum koe hum nasheen na yar ha jo annis ha teri yad ha jo shafeeq ha dil e zaar ha tu hazaar karta lagaawatian ma kabhe na aataa faraib ma mujhy phly es ki khbar na thii tera 2 hii din ka ya pyar ha ye naveed oroan ko jaa suna hum aseer e daman ay saba humian kia chaman ha jo rang par humien kia jo fasl e bahaar ha mujhy reham aataa ha dekh kar tera haal akbar e nuhagar tujhy wo bhii chahay khuda karay k tuu jis ka ashiq e zaar ha
|
(#3)
![]() |
|
|||
Saarii Cheezien Hii Na-mukammal hein Kuch Bhi Pora Nahi hai Paas Meray Na-mUkammal hai Rat-Jagon Ka Safar Khwaab Bhi hain Sabhi Adhoorey Se Aur Tkhayul Kii Waadiyon Mein Khien Chund Ghazlien Bhatk-ti Rehtii hein jo Pohnchtii Nahi hein Kaaghaz Par Aur Agar Yeh Pohanch Bhi Jaaien to Pora hota Nahi ShaiR koii Chund Nazmien Bhi hein Adhori jo Zehan Mein Aa Ke laut jAati hein jaisey Mayos Kii dua koii Dil Se Nikley Flak Se Takraaye Or Phir Be-Asar Hii laut Aa Jaye Kuch Bhi Pora Nahi hai Pass Meray Saarey Jazbey Hii Na-mumkammal hain Bara dhondney Kii Koshish Kii Kho Gya Apna Aap Jaaney Khaan hum Ne dhonda Yhaan Whaan Khud Ko Mil Na Paaya Magar Suraagh koii Safar e Aagahii Adhora hai Mera Sab Kcuh Abhi Adhora hai Kuch Bhi Pora Nahi hai Pass Meray Saarey Sapney Hi Na-mukammal hein Chand Ehbaab Se Bhii Milna Tha Par Adhorii hein Sab mulakaatien yon to Milta hon Har Kisi Se Magar Pora Milta Nahi Kisi Se Bhi Shaayed Apni Hi Zindgii Se Bhi Khatt Bhi Kuch Teray Naam Likhney Thai wo Bhi Na Poray Ho Sakey Ab Tak Kuch Bhi Pora Nahi hai Pass Meray Saarey Waadey Hii Na-mukammal hein Kuch Kitaabien Ke Jin Ko Parhna Tha wo Bhi Ab Tak yon Hi Parii hein Kahen Sirf do Chaar Hii Warq Paltey Dil Ko Phir Yeh Khyaal Aaney Laga Saarey Safhon Ko chor don Aisey Zindgii Ke Tamam RiShton Ko Kyon Na Chup Chaap tor don Aisey Kuch Bhi Pora Nahi hai Pass Meray Saarey Rishtey Hii Na-mUkammal hein Munjamind SilSilon Mein Halchal ho Gham Ke Sehraaon Mein jal-Thal ho Zindgii Ka Sabhii Adhoora Pan tum Chaley Aao to mukammal ho...
|
(#4)
![]() |
|
|||
|
(#5)
![]() |
|
|||
|
(#6)
![]() |
|
|||
Aitaibaar tootay to...! Woh bhi aisay laugo'n per.. Jin ko apna hum jaanai'n.. Jab bhi gham say bojhal ho'n.. Un ko meherbaa'n maanai'n.. Aitaibaar tootay to..! Aisay zakhm miltay hai'n.. Jo kabhi nahee'n bhartay.. Meherabaa'n saaey jab.. Hum say rooth jaaey'n to.. Aisi dhoop milti hay.. Jis may rooh jalti hay.. Aitaibaar tootay to..! Dil k aainay jo hai'n.. Woh bhi toot jaatay hai'n.. Aks woh jo apnay ho'n.. Woh bhi rooth jaatay hai'n.. Aitaibaar tootay to..! Aisay zakhm miltay hai'n.. Aisi dhoop milti hay.. Aisay aks khotay hai'n.. Laug ha'ns bhi lai'n shaayed.. Dil hamaisha rotay hai'n.. Aitaibaar tootay to..!
|
(#7)
![]() |
|
|||
Kabhi is nagar tujhay daikhna... Kabhi us nagar tujhay dhoondna... Kabhi raat-bhar tujhay sauchna... Kabhi raat-bhar tujhay dhodndna... Mujhay ja-bjaa tairi justujoo... Tujhay dhoondta hoo'n ku-baku.. Kahaa'n khul saka tairay ru-baru... Maira is qadar tujhay dhoondna... Tairi yaad aaey to ro liya... Jo tu mil gaya tujhay kho diya... Mairay silsilay bhi ajeeb hai'n... Tujhay chorr ker tujhay dhoondna...!
|
(#8)
![]() |
|
|||
Juda hona hi thehra to.. Gilay kaisay, shikaayat kya.. Juda ho jaaey'n chup-k say.. Na tum bolo, na mai'n boloo'n.. Hamaaray bol parrnay say.. Judaa'ee phail sakti hay.. Hawaao'n may.. Fizaao'n may.. Judaa'ee zaat may bhar lai'n.. Chalo hum is tarah ker lai'n.. Kisi sunsaan rastay ko.. Kisi bhi morr pay dono.. Juda ho jaaey'n chup-k say.. Na tum bolo, na mai'n boloo'n.. Hamaaray bol parrnay say.. Judaa'ee phail sakti hay..!
|
(#9)
![]() |
|
|||
gham-e- zindagi teri rah mein shab-e-arzoo teri chah mein jo ujar gaya woh basa nahin jo bichar gaya woh mila nahin jo dilo nazar ka suror tha meray pass reh kar bhi door tha wohi ik gulaab umeed ka meri shahkh-e-jan pe khila nahin mera hamsafar jo ajeeb hai tou ajeeb tar hon mai aap bhi mujhay manzilon ki khabar nahin ussay raston ka pata nahin pas-e-karwaan sar-e-rahguzar main hara hon tou is liay k qadam tou sab say mila liay mera dil kisi say mila nahin
|
(#10)
![]() |
|
|||
|
![]() ![]() |
Bookmarks |
Tags |
kehtaa, main, thaa |
|
|
![]() |
||||
Thread | Thread Starter | Forum | Replies | Last Post |
maiN chahta bi yehi thaa | waheed ahmed | Mohabbat shayari | 4 | 01-06-2015 09:18 AM |
maiN ruswaye shahr thaa | waheed ahmed | Your Own Poetry | 1 | 10-11-2014 10:56 AM |
maiN ne aksar socha thaa | waheed ahmed | Your Own Poetry | 7 | 10-10-2014 01:35 AM |
Wo jo ishq thaa, wo junoon thaa, | hairtransplantpakistan | Funny Poetry | 4 | 02-22-2012 10:14 AM |
Wo Khuwaab thaa bikhar gayaa Khayaal thaa milaa nahin | ROSE | Miscellaneous/Mix Poetry | 2 | 12-17-2011 11:56 AM |