Great Urdu Poets&Poetry Share All Great Urdu Poets Poetry Here |
Advertisement |
![]() ![]() |
|
Thread Tools | Display Modes |
(#1)
![]() |
|
|||
kal chaudhwin ki rat thi shab bhar raha charcha tera kuch ne kaha ye chand hai kuch ne kaha chehra tera ham bhi wahin maujud the ham se bhi sab pucha kiye ham hans diye ham chup rahe manzur tha parda tera is sheahr mein kis se milen ham se to chuti mahfilen har shakhs tera nam le har shakhs diwana tera kuche ko tere chor kar jogi hi ban jayen magar jangal tere parbat tere basti teri sahra tera ham aur rasm-e-bandagi ashuftagi uftadagi ehsan hai kya kya tera ai husn-e-beparwa tera do ashk jane kis liye palkon pe a kar tik gaye altaf ki barish teri ikram ka darya tera ai bedarg-o-beaman ham ne kabhi ki hai fugan ham ko teri wahshat sahi ham ko sahi sauda tera tu bewafa tu mahraban ham aur tujh se bad-guman ham ne to pucha tha zara ye waqt kyun thehra tera ham par ye sakhti ki nazar ham hain faqir-e-rahguzar rasta kabhi roka tera daman kabhi thama tera han han teri surat hasin lekin tu aisa bhi nahin is shakhs k ashar se shohra hua kya kya tera beshak usi ka dosh hai kahta nahin khamosh hai tu ap kar aisi dawa bimar ho acha tera bedard sunani ho to chal kahta hai kya achhi gazal ashiq tera ruswa tera shayar tera "Insha" tera
![]() Kabhi zindagi me kisik liay mut rona** q k vo''tumhare ansoun k kabil nahi ho ga'' or ''vo'' jo is ''kabil'' ho ga vo tumhe ''rone'' nahi de ga''***** |
Sponsored Links |
|
(#2)
![]() |
|
|||
us sham wo rukhsat ka saman yad rahega wo shahar wo kucha wo makan yad rahega wo tis k ubhri thi idhar yad rahegi wo dard k utha tha yahan yad rahega ham shauq k shole ki lapak bhul jayenge wo shama-e-fasurda ka dhuan yad rahega kuch mir k abyat the kuch faiz k misre ik dard ka tha jin main bayan yad rahega jan bakhsh si thi us gulbarg ki tarawat wo lams-e-aziz-e-do-jahan yad rahega ham bhul sak hain na tujhe bhul saknge tu yad rahega hamen han yad rahega
![]() Kabhi zindagi me kisik liay mut rona** q k vo''tumhare ansoun k kabil nahi ho ga'' or ''vo'' jo is ''kabil'' ho ga vo tumhe ''rone'' nahi de ga''***** |
(#3)
![]() |
|
|||
rat k khwab sunayen kis ko rat k khwab suhane the dhundle dhundle chehre the par sab jane pahahane the ziddi wahshi alhar chanchal mithe log rasile log honth un k gazlon k misre ankhon main afsane the ye larki to in galiyon main roz hi ghuma karti thi is se un ko milna tha to is k lakh bahane the ham ko sari rat jagaya jalte bujhte taron ne ham kyun un k dar pe utre kitne aur thikane the wahshat ki unwan hamari in main se jo nar bani dekhenge to log kahenge 'Insha' ji diiwane the
![]() Kabhi zindagi me kisik liay mut rona** q k vo''tumhare ansoun k kabil nahi ho ga'' or ''vo'' jo is ''kabil'' ho ga vo tumhe ''rone'' nahi de ga''***** |
(#4)
![]() |
|
|||
ham un se agar mil baithte hain kya dosh hamara hota hai kuch apni jasarat hoti hai kuch un ka ishara hota hai katne lagin raten ankhon main dekha nahin palakon pe aksar kabhi sham-e-gariban ka jugnu kabhi subah ka tara hota hai ham dil ko liye har des phire is jins ka gahak mil na saka ai banjaro ham log chale ham ko to khasara hota hai ham apni zaban se kuch bhi kahen shayar hai khayalon se khelen a jao to baham mil baithe kabhi hijr bhi pyara hota hai daftar se uthe kaife main gaye kuch sher kahe kuch kafi pi pucha jo muash ka "Inshaji" yun apna guzara hota hai
![]() Kabhi zindagi me kisik liay mut rona** q k vo''tumhare ansoun k kabil nahi ho ga'' or ''vo'' jo is ''kabil'' ho ga vo tumhe ''rone'' nahi de ga''***** |
(#5)
![]() |
|
|||
|
(#6)
![]() |
|
|||
|
(#7)
![]() |
|
|||
|
(#8)
![]() |
|
|||
|
(#9)
![]() |
|
|||
|
(#10)
![]() |
![]() ![]() |
Bookmarks |
Tags |
ibne, insha |
|
|
![]() |
||||
Thread | Thread Starter | Forum | Replies | Last Post |
Insha Je Utho Ab | shahidalikiyani | shahidalikiyani | 15 | 02-12-2012 10:11 PM |
!*!*AAE iBne ADAM~*~* | Dashing Ahsan | Say For Islam | 5 | 09-01-2011 06:28 AM |
| insha g utho ab kucch karo | | Hussain | Miscellaneous/Mix Poetry | 4 | 12-10-2010 09:48 AM |
--insha ji utho ab kuchhh kro-- | Hussain | Image Poetry | 6 | 07-22-2010 03:31 PM |