Hadees Shareef !!!!Share Hadeesein here!!!! |
Advertisement |
|
Thread Tools | Display Modes |
|
(#1)
![]() |
|
|||
Nabi Akhrus Zamaan Janab e Rasool e kareem Rehmat ul lilaalameen ne farmaya Dunya Akhrat ki Khaiti hai. dosto me na koi muballig hoo na koi meri auqaat hai ke AAP SAW ki ahadees ka dars desakoo ya us ko bayan karsakoo. bus aisey hi is hadees per ghaur karha tha tou kuch batein zehen me aai tou socha share karloo. yaha AAP saw ne Khaiti ka word use kia hai. zara khait ko tasawar me layein. khaito mei kia hota hai.. anaaj boya jata hai taakei fasal utarnei pei khana milsakei. Kisan ki mehnat aur mehnat aur mehnat lagi hoti hai ke wo bus laga rahey aur behter sei bahter fasal utarsakei Dunya ko haqiqat bhi yahi hai. Khaito me araam nahi hota logo. khaito me mushaqqat hoti hai. pasina bahaya jata hai gard sei at jata hai jism. khauito me gher nahi banatey khaito me mehel nahi sajatey us pei sirf mehnat kartey hain takei phir chain sei sosakein . phal pak sakei araam milsakei per jab tak fasal kut na jaaye tab tak chaain sukoon araam itminaam haraam hota hai ke kahein koi ghalti na hojaye koi khata na hojaye kuch nuqsan na pohanch jaaye aur jis ki fasal lehlaha rahi ho wo aur parshan (juis ka imaam mazboot hai wo aur pareshaan) jis ki zameen banjar hai wo tou sota rahey ga aram sei us ko koi dar nahi per jis ki fasal paki ho imaam mazboot ho pal pal dharka ke koi nuqsan na hojaye mahnat barbaad na hojaye bhaio, bohat thora sa waqt hai bohat thora sa. yaha qahqahey laganei nahi rone ke lia bheja gaya hai. dekhnei ka nazarya badlo us nazarye sei dekho jo Allah dikhana chahta hai Allah mujh per rehem karein Kamtareen Hammad ( Shaam )
|
Sponsored Links |
|
Bookmarks |
Tags |
hadees |
|
|
![]() |
||||
Thread | Thread Starter | Forum | Replies | Last Post |
hadees | ROSE | Hadees Shareef | 5 | 07-15-2012 10:42 PM |
Hadees........... | ROSE | Hadees Shareef | 5 | 02-12-2012 12:28 AM |
Hadees ha | ROSE | Hadees Shareef | 3 | 02-11-2012 02:11 AM |
Hadees | ROSE | Hadees Shareef | 5 | 02-11-2012 01:47 AM |
**Hadees** | Nida-H | Ramdan Ul Mubarak | 11 | 08-13-2010 09:36 PM |