Some Points:
1. Ayat # 95 Bayshaq Deen-e-Ibrahim Wo Sacha Aur Pakeeza Deen Hay, Jo Khuda Ki Wahdaniyat Aur Uskay Aik Honay Ka Aqeeeda Rakhta Hay Aur Dunya Main Jo Sab Say Pehlay Insan Utaray Gaye [Hazrat Adam] Wo Isi Aqeeday Par Thay Aur Hum Bhi Aaj Isi Ki It'teba, Pairwi, Follow Kar Rahay Hain..
2. Ayat # 96 Is Ayat Main Bait Ullah [Masjid AL Haram] Ki Fazeelat Ka Ziker Kiya Gya Hay, Koi Shaq Nahi Ye Musalmano Kay Liye Bohat Bari Khushnaseebi Hay Kay Bait Ullah Jaisi Khuda Ki Pasandeeda Jaga Unkay Hisay Main Ayi, West Kay Kuch Think Tanks Main Aik False Concept Paya Jata Hay Kay Ye "Khuda" Ka Wajood with The Passage of Time Badalta Raha.. Pehlay Pehlay Jab Insan Sooraj Ko Daikhta To Usay Khuda Keh Daita, Sooraj Dhalta Sitaray Nazar Atay To Usay Khuda Keh Daita.. Waqt Guzarta Gya Jo Cheez Insan Ko Nuksan Pohncha daiti Koi Khatarnak Janwar, Qudarti Afat Ya Kuch Aur.. Jis Ko Insan Khud Say Taqatwar Pata, Wo Usay Khuda Tasleem Kar Laita Aur Ahista Ahista Jaisay Jaisay Insan Taraki Karta Gya Aur In Cheezo'n Par Ghalba Pata Gya To Khuda Ka Concept "Ghayab Hasiyat" Say Agya, Ye Ayat # 94 "Inna Awala Bait.. " Is Soch Ki Musalsal Nafi Kar Rahi Hay Aur Bata Rahi Hay Kay 'Allah' Hi Wo Khuda Hay Jisay Roye Zameen Par Sab Say Pehlay Khuda Mana Gya.. Aur Makkah Main Wo Makan Hay Jo Is Zameen Main Sab Say Pehli Ibadat Gaah Hay.. Us Say Pehlay Na To Koi Ibadat Gaah Thi Aur Na Hi Koi Jhoota Khuda..
3. Ayat # 97 Allah Taa'ala Is Ghar Ki Shan Bayan Kartay Howay Bata Raha Hay Kay Ye Wo Ghar Hay Jaha'n Log Amaan Patay Hain Bara Hi Babarkat Aur Rehmato'n Ki Tajaliyo'n Wala Ghar Hay, Jo Shakhs Bhi Ismain Dakhil HOjaye Wo Aman Pata Hay, Sukoon-e-Qalb, Taskeen O Rahat Pata Hay.. Pak Karta Hay Rohani Tor Par Aur Jismani Tor Par.. Rah-e-Hidayat Dikhata Hay, Is Ghar Main Rub Taa'aala Ki Khuli Nishaniyaa'n Hain Jin Main Say Aik Ka Zikr Allah Nay Is Ayat Main Kiya Jo Kay "Muqam-e-Ibrahim" Hay.. Allah Chahta Hay Kay Uskay Banday Uskay Ghar Main Aye'n Aur Aman Paye'n.. Hidayat Paye'n Aur Sachay Khuda Ki Shan Daikhain.. Raheem Ki Arham Ur Rahmeen Wali Sift Daikhain , Allah Jalla Shano Hoo Ye Bhi Nahi Chahta Kay Kisi Himmat Na Rakhnay Walay Par Zabardasti Ki Jaye.. Farmata Hay "Jo Mere Ghar Tak Anay Ki Taqat Rakhtay Hain" Un Par Ye Farz Hay.. Subhan'Allah Magar Ye Humari Kamzarfi, Kam Aqli, Mehdood Soch Ka Nateeja Hay Jo Hum Is Ayat Ka Tarjuma Parh Kar Ye Murad Laitay Hain Kay, "Theek Hay Ji, Jab Allah Istetat Day Ga To Hujj Kar Lain Gay" .. O Allah Kay Bando! Apnay Rub Ka Ye Farman Baja Lanay Kay Liye Istetaat Pao.. Istetaat Panay Ki Khud Main Lagan Barhao, Jis Tarha Baiti Ya Bahen Ki Shadi Karnay K Liye Tum Log Din Main Paisay Kamanay Kay Liye Bhagtay Ho, Istetaat Panay Kay Liye Bhagtay Ho .. Apnay Bachay Ko Parhnay Kay Liye Bahir Bhaijnay Ko Istetat Chahtay Ho.. Apnay Roshan Mustaqbil Kay Liye Itni Itni Plannings Kartay Ho.. To Kya Is "Hujj" Walay Kaam Ko "Option" Par Chordain? .. Kay Ji Allah Nay Istetaat O Taufeeq Di To Karlaingay? Nahi, .. Hum Kisi Dost Ki Dawat Ko Thukratay Howay So Baar Sochtay Hain Ye To Phir Allah Jalla Shaanoho Ki Dawat Hay, AUr Dawat Kay Peechay Maqasid Bhi To Daikhiye.. Mashallah Insan Kay Apnay Hi Fawayed Hain.. To Phir Inshallah Aj Say Hum Waha'n Janay Ki Istetaat Panay Main Lag Jayengay.. INSHALLAH
Last edited by !~*SOoLi; 08-09-2011 at 08:23 PM..