Miscellaneous/Mix Poetry !! All Miscellaneous/Mix poetry share here !! |
Advertisement |
![]() ![]() |
|
Thread Tools | Display Modes |
|
(#1)
![]() |
Sponsored Links |
|
(#2)
![]() |
|
||||
JAO SO JAO K MAUSAM BARA JAZBAATI HAI dil shikasta apnay jaisa yahan koi dafan hai der tak raat ko roney ki sada aati hai jaisay chashmay peh nahati hui shehzad-e-khuab chandni raat ab ashkon main naha jati hai kia yahan dasht-e-tamanna main koi phool khila ab idher roz kai baad-e-saba aati hai kis dastak nay bohat chupkay sey sergoshi ki chand sey chandni nazdeek hui jati hai meri aankhon main uter aaye hain kaley badal jao so jao k mausam bara jazbaati hai khushk patton ko koi rond raha hai shayed baal bikhraye huye baad-e-saba aati hai
Maza da jwand me pa dunya ke nishta,
che me wafa khkuli Ashna ke nishta. Ya de pa mina JANAN na pohegi, Ya de sa dard Khiyla jara k nishta |
(#3)
![]() |
|
||||
CHAND KI CHUDHWEEN TAREEKH HAI, UPER DEKHO bader do aankhain bohat dhoond rahi hain tum ko chand ki chaudhween raat hai, uper dekho raat soi hui raa'naiyon ney mujh se kaha hum tumhari hi ghazal hain kabhi hum ko bhi kaho chandni raat main keh jati hai aahat jaisay hum bohat paas hain aawaz na do, hum ko suno jis sey umeed-e-wafa hogi wohi dukh dai ga beywafa jaan kay chaho jisay ab kay chaho us ki qudrat main nahi ruk kay koi baat sunay waqt aawaz hai aawaz ko aawaz na do muntazir kab sey hain auraaq-e-kitab-e-hasti dil ka kuch rang kero nok-e-qalam ko chumo aik aawaz bohat kafi hai sotay k liye log samjhain gay baney laitay ho ab jaag pero aaj kamrey main nahi bethnay wala mausam berf girnay ki khabar garm hai ab jaag pero
Maza da jwand me pa dunya ke nishta,
che me wafa khkuli Ashna ke nishta. Ya de pa mina JANAN na pohegi, Ya de sa dard Khiyla jara k nishta |
(#4)
![]() |
|
||||
ye chiragh be'nazar hai ye sitara be'zubaan hai
abhi tujh sey milta julta koi doosra kahan hai wohi shakhs jis pey apney dil'o'jaan nisaar ker doun wo ager khafa nahi hai tu zuroor badgumaan hai kabhi paa ke tujh ko khona kabhi kho ke tujh ko pana ye janam janam ka rishta terey merey darmiyaan hai merey saath chalney waley tujhey kia mila safar mein wohi dukh bhari zameen hai wohi gham ka aasman hai mein isi gumaan mein barsoon bara mutmai'en raha houn tera jism be'taghayyur hai mera pyaar jawedaan hai unhi rastoon ne jin per kabhi tum they saath merey mujhey rok rok poocha tera humsafar kahan hai.
Maza da jwand me pa dunya ke nishta,
che me wafa khkuli Ashna ke nishta. Ya de pa mina JANAN na pohegi, Ya de sa dard Khiyla jara k nishta |
(#5)
![]() |
|
||||
siyahiyoon kay banay harf harf dhootay hain
yeah loug raat mein kaghaz kahan bhigotay hain kis ke rah mein dehleez par diyeah na rakho kawaar sokhi hoi lakriyon kay hotay hain charagh pani mein moujoon say pochtay hon gai woh koun loug hain jo kashtiyaan dabootay hain qadeem qasboon mein kaysa sakoon hoota hai thakay thakaye humaray buzurg sootay hain chamakati hai kaheen sadiyoon mein ansoon say zameen ghazal kay shair kahaan roz roz hotay hain ~!!
Maza da jwand me pa dunya ke nishta,
che me wafa khkuli Ashna ke nishta. Ya de pa mina JANAN na pohegi, Ya de sa dard Khiyla jara k nishta |
(#6)
![]() |
|
||||
Na g bher k daykha
Na g bher k daykha na kuch baat ki Bari aarzoo thee mulakaat ki Ujaloon ki pareeyan nahanay lageen Nadee gungunaee khayalaat ki Main chup tha tu chalti hawa ruk gaee Zuban sab samajtay hain jazbaat ki Muqader mari chasm per aab ka Brastee huee raat barsaat ki Kaee saal say kuch khaber hi nahi Kahan din guzara kahan raat ki
Maza da jwand me pa dunya ke nishta,
che me wafa khkuli Ashna ke nishta. Ya de pa mina JANAN na pohegi, Ya de sa dard Khiyla jara k nishta |
(#7)
![]() |
|
||||
Abhi is taraf na nigah ker
Abhi is taraf na nigah ker main gazal ki palkain sawar loon Mayra lafz lafz hai aeynah tujhey aeynay main utar-loon Main tamam din ka thaka hoowa tu tamam shab ka jaga howa Zara thayher ja isi moorh per tayray saat sham guzar loon Ager aasman ki numa-eeshoon main mujhay bhi izan-e-kayam ho To main mootiyoon ki dukan say tayri baleeyan tayray haar loon Kahain or bant day shohratain kahain or baksh day izatain Mayray paas hai mayra aaeynah main kabhi na gard-do-ghubar loon Kai ajnabi tayri rah main mayray pass say yun guzar gaey jinhain daykh ker ya tarap huee tayra naam lay kay pookar loon
Maza da jwand me pa dunya ke nishta,
che me wafa khkuli Ashna ke nishta. Ya de pa mina JANAN na pohegi, Ya de sa dard Khiyla jara k nishta |
(#8)
![]() |
|
||||
Gham chhupaate rahe muskuraate rahe mahafilo.n mahafilo.n gun_gunaate rahe aa.Nsuo.n se likhii dil kii tahariir ko phuul kii pattiyo.n se sajaate rahe Gazale.n kumhalaa ga_ii.n nazme.n murjhaa ga_ii.n giit sa.Nvalaa gaye saaz chup ho gaye phir bhii ahal-e-chaman kitane Khush_zauq the naGmaa-e-fasl-e-gul gun_gunaate rahe terii saa.Nso.n kii Khushbuu labo.n kii mahak jaane kaise havaaye.n u.Daa laa_ii.n thii vaqt kaa har qadam bhii bahakataa rahaa zaqt le paa.Nv bhii Dag_magaate rahe
Maza da jwand me pa dunya ke nishta,
che me wafa khkuli Ashna ke nishta. Ya de pa mina JANAN na pohegi, Ya de sa dard Khiyla jara k nishta |
(#9)
![]() |
|
||||
ek sham yun hua ki kisi shair ne apni ghazal ka koi sheir kaha,to ghazal use dhoondti hui rat main uske sapno tak ja pahunchi aor uske kan main boli ki main anek shairon ke pas hoti hui tujh tak pahunchi hoon aor ab teri hokar rahna chahti hoon, kya tu mujhe kabool karega, to sapne main hi us shair ne han kah di aor savere jab uski aankh khuli,tousne barhe jor se elan kardiya ki main ghazal ka shair hoon.yah shair aor koi nahi,balki dr.bashir badrr sahab hain jo apne khas andaz ke liye jane jate hain jo vakaei ghazal ke shair hain,na hindi ke na urdu ke. lijiye unki ek khubsurat si ghazal aap sab ki nazr..... hamara dil sawere ka sunhara jam ho jaye charagon ki taraha aankhen jalen,jab sham ho jaye kabhi to aasma se chand utre,jam ho jaye tumahre nam ki ik khubsurat sham ho jaye main khud bhi ahtiyatan us gali se kum guzarta hoon koi masum kyon mere liye badnam ho jaye azab halaat the yun dil ka soda hogaya akhir muhbbat ki haveli jis taraha nilam ho jaye samunder ke safar main is taraha avaz do humko hawain tez hon aor kashtiyon main sham ho jaye mujhe maloom hai uska thikana fir kahan hoga parinda aasman chhoone main jab nakam ho jaye ujale apni yadon ke humare sath rahane do na jane kis gali main zindgi ki sham ho jaye
Maza da jwand me pa dunya ke nishta,
che me wafa khkuli Ashna ke nishta. Ya de pa mina JANAN na pohegi, Ya de sa dard Khiyla jara k nishta |
(#10)
![]() |
|
||||
Leejiye pesh hai Dr. Bashir Badr ki aik aur ghazal: bhiigii hu_ii aa.Nkho.n kaa ye ma.nzar na milegaa ghar chho.D ke mat jaao kahii.n ghar na milegaa phir yaad bahur aayegii zulfo.n kii ghanii shaam jab dhuup me.n saayaa ko_ii sar par na milegaa aa.Nsuu ko kabhii os kaa qataraa na samajhanaa aisaa tumhe.n chaahat kaa samu.ndar na milegaa is Khvaab ke maahaul me.n be-Khvaab hai.n aa.Nkhe.n baazaar me.n aisaa ko_ii zevar na milegaa ye soch lo ab aaKhirii saayaa hai muhabbat is dar se uthoge to ko_ii dar na milegaa
Maza da jwand me pa dunya ke nishta,
che me wafa khkuli Ashna ke nishta. Ya de pa mina JANAN na pohegi, Ya de sa dard Khiyla jara k nishta |
![]() ![]() |
Bookmarks |
Tags |
badar, bashir |
|
|
![]() |
||||
Thread | Thread Starter | Forum | Replies | Last Post |
Ghazwa-e-Badar was fought HERE | -|A|- | Islamic Images And Miracle Pics | 13 | 08-21-2011 04:13 AM |
Welcome Sohaib Bashir | Ghuncha | Birthday & Other Wishes | 4 | 11-16-2008 02:20 PM |