 |
|
|
Posts: 2,387
Country:
Star Sign:
Join Date: Sep 2008
Location: Norway
|
|
Gilla kya kare ab kisise hum..
Dosto ne hi pehchaanne se inkaar kardiya..
Gustaakhiyaan humne bhi ki hai zindagi mein bohat..
Aaj begunaah thei aur dosto ne maanne se inkaar kardiya..
Kiya tha kabhi vaada saath nibhaane ka sukh dukh mein..
Aaj humpe burra waqt aaya toh vaada nibhaane se inkaar kardiya..
Koi na bann sakka apna "Naaz" iss bhari duniya mein..
Jo tha azeez iss dil ka ussi ne aaj apnaane se inkaar kardiya
Hawa ban kar bikharney se
Usey kya farq parta hai
Mere jeeney ya marney se
Usey kya farq parta hai
Usey to apni khushiyon se
Zara bhi fursat nahi milti
Mere gham ke ubharney se
Usey kya farq parta hai
|