MeraForum Community.No 1 Pakistani Forum Community
»
Poetry
»
Urdu Poetry Categories
»
Miscellaneous/Mix Poetry
»
Dheerey Say Sirakti Hai Raat
Miscellaneous/Mix Poetry !! All Miscellaneous/Mix poetry share here !!
|
 |
Banned
|
|
Posts: 23,626
Country:
Star Sign:
Join Date: Aug 2008
Location: USA
Gender:
|
|
Dheerey Say Sirakti Hai Raat Uss Ke Aanchal Ki Tarah
Uss Ka Chehra Nazar Aata Hai Jheel Mein Kanwal Ki Tarah
Baad Muddat Uss Ko Daikha To Jism-o-Jaan Ko Yoon Laga
Piyasi Zameen Pay Jaisey Koi Baras Gaya Badal Ki Tarah
Roz Kehta Hai Seeney Pay Sar Rakh Ke Raat Bhar Sulaoon Ga
Sar-e-Shaam Hi Mujhey Aaj Phir Sula Gaya Woh Kal Ki Tarah
Uss Ka Sharmaana Bhi Mujhey Maaat Day Jaata Hai
Uss Ki To Har Adaa Hai Kisi Khamosh Qaatil Ki Tarah
Mairey Hi Dil Ka Makeen Nikla Woh Shakhs Aur Main
Shehar Bhar Mein Dhoodnta Raha Ussey Kisi Pagal Ki Tarah
Madhosh Sa Ho Jaata Hoon Jab Baarish Ki Boondein
Chairrhti Hain Koi Naghma Uss Ki Chanakti Payel Ki Tarah
Maira Sukhan Uss Ki Zaat Ka Mehwar Na Ho Tab Bhi
Woh Naazneen Woh Dil Nasheen Ho Ga Mehakti Ghazal Ki Tarah
Nahin Tha Khaarzaron Pay Tanha Be-sabab Safar Maira
Yaqeen Tha Mil Jaaye Ga Raah Mein Woh Manzil Ki Tarah ..........!
|
Posting Rules
|
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts
HTML code is Off
|
|
|
All times are GMT +5. The time now is 11:46 PM.
Powered by vBulletin®
Copyright ©2000 - 2025, Jelsoft Enterprises Ltd.