 |
|
|
Posts: 12,370
Country:
Star Sign:
Join Date: Aug 2008
Location: Karachi
Gender:
|
|
Hai bas ki har ek unke ishaare
hai bas_ki har ek uNke ishaare meN nishaaN aur
karte haiN mohabbat to guzarta hai gumaaN aur
Yaa_Rab!, na vo samjheN haiN na samjheNge m'ri baat
de aur dil uNko, jo na de mujhko zubaaN aur
abruu se hai kya us nigeh-e-naaz ko, paiwaNd?
hai tiir moqarrar, magar uski hai kamaaN aur
tum shehr meN ho to hameN kya gham jab uTheNge
le aayeNge bazaar se jaa_kar, dil_o_jaaN aur
har_chaNd subuk_dast huye but_shikani meN
ham haiN to abhi raah meN haiN saNg-e-giraaN aur
hai khuuN-e-jigar josh meN dil khol ke rota
hote jo kaii diida-e-khuuN ya na nishaaN aur
martaa huN us aawaaz pe har_chaNd sar aR jaaye
jallad ko lekin vo kahe jaayeN ki 'haaN aur!'
logoNko hai khurshiid-e-jahaaN_taab ka dhoka
har roz dikhaataa huN maiN ik daagh-e-nihaaN aur
haiN aur_bhi duNiyaa meN sukhan_var bahot achchhe
kahte haiN ki 'Ghalib' ka hai aNdaaz-e-bayaaN aur
-----------------------------------------------------------------------------------
although in her every indication, the aim is something else
If she shows her affection(with me), then different suspicion arises
oh Lord, 'they' have not understood, nor will [they] understand, my speech
give 'them' another heart, if you don't give me a different tongue
does that glance of coquetry have a connection with the eyebrow?
it is certainly an arrow- perhaps it has a different bow
if you're in the city, then what grief do I have? when we get up
I will go and bring back from the bazaar a different heart and life
although [I /we] became quick-handed / deft in idol-breaking
If I am alive, then in my path there will be many heavy-stones
the blood of the liver is in turmoil—or I would have wept to my heart's content
if I had had a number of different pure-blood-scattering eyes
I will die [of love] for that voice, although my head may fly off!
but let her keep saying to the executioner,'Yes, more/another!'
people are deceived about the world-{heating/burning} sun
every day I show one different hidden scar/wound
There are many good poets in this world.
But it is said that Ghalib is in a league of his own.
Ghalib Mirza Asadullah Khan

ALLAH FARMATA HAI :
AEY BANDEY JO HUA
WO ACHA HUA .
JO HORAHA HAI ACHA HO RAHA HAI.
JO HOGA WO BHI ACHA HOGA.
TERA KIYA GAIYA JO TU ROTA HAI
TU KIA LAYA JO TU NE KHO DIYA.
JO LIYA YAHIN (DUNYA) SEI LIYA
JO DIYA YAHIN (DUNYA) PE DIYA
JO AAJ TERA HAI PEHLAY KISI AUR KA THA
AUR KAL KISI AUR KA HOGA.
TABDEELI KAINAAT KA MAMOOL HAI
BAS TU WO JAMA KAR JO TU SATH LEI KAR JANEY WALA HAI
YANI NAIK AMAAL.
|