Miscellaneous/Mix Poetry !! All Miscellaneous/Mix poetry share here !! |
Advertisement |
![]() ![]() |
|
Thread Tools | Display Modes |
(#1)
![]() |
|
|||
![]() ![]() ![]() mere hamsafar Mere Humsafer, mere Hum-nasheen Main ne Rab se manga to kuch nahi Per jub bhi mangi koi dua! Nahi manga kuch bhi “Tere Siwa” Ye talab kya k mera Khuda! Naye ehad ki Sabhi rahtain, Sabhi chahtain, Wo ata kre tujhe manzlain, Ye talab kya k mera Khuda! Tujhe Bakht de, Tujhe Taj de Tujhe Takht de, Mere Humsafer, Mere Chara-ger, Ye hai mohabbat ka khatan safer Mere sath chalna zra soch ker Mere pass zarr na koi hunar Phir bhee dekh to mera hosla Mere paas jo kuch, Sabhi tera Nahi aur kuch bhi tere siwa Meri Dosti Meri Zindgi Meri Khamoshi Meri Be-basi, Meri Subha Bhi Meri Sham bhi Mera Ilm bhi Mera Naam bhi, K jo mil saken mere Daam bhi, Wo sabhi kuch tujh ko ata kre; Mere chara gr tu yaqin to kr Mujhe mangna to na aa ska Main ne phir bhi mangi yehi Dua K gwahi de ga mera Khuda Maine jub b us se talab kya! Nahi manga kuch bhi “Tere Siwa Ek bhegi hui si raaat mile Ek bhegi hui si raat mile us raat me tera hath mile tere lab se tapken jo bonden unhe mere labon ka sath mile kuch tum bi behke behke se kuch mujh pe nasha sa tari ho har pal me chaye madhoshi Ek aisi raat hamari ho phir tum aao meri bahon me main pyar karon tumhe ji bhar ke tum mujhse thora sharma jao sharma k galay se lag jao main jitna tumko pyar karon tum itne hi betab ho jao hamein pyar k kuch lamhat milen Ek bhegi hui si raat mile….! Zakhm_e_Tanhai Mein Khushbo_e_HinA Kis Ki Thi Saaya Deevar Per Mera Tha, Sada Kis Ki Thi Os ki Raftaar Say Lipti Raheen Ankhein Meri Os Ne Murr Kar Bhi Na Dekha k Wafa Kis Ki Thi Ansuon Say He Bhar Gaya Daaman Mera Haath To Main Ne Uthaaya Tha, Dua Kis Ki Thi Meri Aahon Ki Zaban Koi Samjhta Kaisay? Zindagi Etni Dukhi Meray Siva Kis Ki Thi Aag Say Dosti Os Ki Thi, JaLa Ghar Mera Dee Gai Kiss Ko Saza, Aur Khata Kis Ki Shaam e Gham Ki Qasam Shaam e Gham Ki Qasam Aaj GhamgEen Hain Hum Aa Bhe Jaa Aa Bhe ja Aaj Meray Sanam Dil PreShan Hai Raat Veeraan Hai Dekh Ja Kis Trah Aaj tAnhA Hain Hum Shaam e Gham Kii Qasam Khail Kaisa Jo PehlOo Mein tOo Hi Nahien Maar Dalay Na dArd e jUdaii Kahien Rut HaSEen Hai To Ko Kya Chandni Hai To Kya Chandhi Zulam Hai Or jUdaii Sitam Shaam e Gham Ki Qasam Ab To Aaja K Ab Raat Bhe So Gaii Zindgi Gham K Sehraon Mein Kho Gaii DhOondhatii Hai Nazar tOo Khaan Hai Magar Dekhtay Dekhtay Aaya AankhOn Mein Nam Shaam e Gham Ki Qasam Muhbat hum say karni hai Muhbat hum say karni ho to phir wada nahi karna, ye waday hum nay Dekhay hain k aksar tot jatay hain Muhbat hum say karni hai to phir zid bhi nahi karna, ye zid bhi hum Nay dekhi hai k sathi chhot jatay hain Muhbat hum say karni hai to phir tohfa nahi daina, ye tohfay hum nay Dekhay hain buht majbor kartay hain Muhbat hum say karni hai to phir shikwa nahi karna, ye shikway hum nay Dekhe hain dilon ko dor karte hain Muhbat hum say karni hai to phir roya na karna, ye aanson hum nay Dekhay hain dilon ko cheer detay hain MUJHE TUM SE BATIEN KRNI HAI Kabhi aajao tum pal bhar ko, Mujhe tum se batien krni hain, Kuch ghum k geet sunanay hain, Kuch raaz hain jo batlanay hain, Kuch dil ko b batlana hai, Kuch zakhm hain jo dikhlanay hain, Kuch dil se yaadain dhoni hain, Kuch naatay nai bnanay hain, Jo sher likhay hain teri furqat mein, Kuch sher tumhe wo sunanay hain, Kuch dard sunanay hain dil k, Kuch piyar ki batien krni hain, Kabhi aajao tum pal bhar ko, Kaash……. mein kuch b nahin hoon tere liye kuch tere liye mein ho jaon tere dil men rahoon ankhon mein basoon dharkan men shamil ho jaon to jab koi baat kare mera naam b us meia shamil ho to jab b mange kuch rab se meri zaat b us men shamil ho har bar nahin ik baar sahi ik bar to aisa ho jae ik pal k liya ae jan-e-wafa tujhe mujh se mohabbat ho jae AY KAASH K AISA HO JAE AY KAASH K AISA HO JAE Neend Nahi aati Rahte hain unke khayalon me, ab neend mujhe aati nahi, hanste hai ab jab bhi hum, bas yaad unhi ki aati hai, wo uski meethi muskan, humara dil dhadkati hai, jagte sote har pal hi, unki yaad hume tadpati hai, bas ek jhalak unki paakar, hum khush ho jaaya karte hain, jab bhi wo aate hain saamne, hum chup ho jaya karte hain, Bolta hai per dil mera, kuch bol sake to tu kah de, per sochta hoon main, is baat se, mera dil use na kho baithe, wo dost nahi mera sab kuch hai, ye kaun use batlaye, kaas waqt ke saath hi, wo apne aap samajh paaye, Ay …MAHNOOR ab teri yaad me, kisi kaam me ruchi nahi, dil me tum, dhadkan me tum, aur baat kisi ki bachi nahi, rahte hain tumhare khayalo me, an neend mujhe aati nahi….. jis ki chahat ko jis ki chahat ko her chaht say mootaber rakha, Khud tha ghamgeen mager us ko baykhaber rakha, aaj wahi shakhs mayray g ko jalata hay bohat, roh ko ghayal ankhoon ko rulata hay bohat, kon c main nay thee us say khudaii mangi, jub bhi mangi tu fakt us say mohabt mangi, mayri chaht ka badla mujh ko istarah say mila, hansta jo dil tha mayra mujh ko hay ujra sa mila. ![]() ![]() ![]()
|
Sponsored Links |
|
(#2)
![]() |
|
||||
![]() ![]() ![]() |
(#3)
![]() |
|
|||
![]() ![]() ![]() |
(#4)
![]() |
|
|||
![]() ![]() ![]() |
![]() ![]() |
Bookmarks |
Tags |
kahan, louto, mahnooor, meri, plz, tum, wapas |
|
|
![]() |
||||
Thread | Thread Starter | Forum | Replies | Last Post |
kahan aa k rukne the raste kahan mor tha use bhul ja | MAsooM LArKa | Great Urdu Poets&Poetry | 11 | 09-14-2011 08:49 PM |
kahan kahan se sameitoon shikasta khwaabon ko | !«╬Ĵamil Malik╬«! | Miscellaneous/Mix Poetry | 18 | 03-09-2010 08:04 PM |
kahan Aake Rukne The Raaste, Kahan Maur Tha Usey Bhool Ja | (¯*♥¤»ƙɧՄՏɧՅԾԾ«¤♥*¯) | Miscellaneous/Mix Poetry | 11 | 10-23-2009 02:51 AM |
Kahan Kahan Say Samaiton Shikasta Khwabon Ko* | Nida-H | Miscellaneous/Mix Poetry | 21 | 10-02-2009 08:00 PM |
kahan aa kay rukay thay raastay! kahan moar tha! usay bhool ja | (¯*♥¤»ƙɧՄՏɧՅԾԾ«¤♥*¯) | Miscellaneous/Mix Poetry | 6 | 08-18-2009 09:25 AM |