 |
|
|
Posts: 138
Country:
Star Sign:
Join Date: Jan 2009
Location: karachi
Gender:
|
|
kabhi zindagi ka naam hai mohabbat
kabhi maut ka paigham hai mohabbat
kabhi mohabbat se milti hai khushi
kabhi ghum ki shaam hai mohabbat
kabhi mohabbat hai ansoun ki barish
kabhi hansi ka jam hai mohabbat
kabhi hai mohabbat dil ki jalan
kabhi dil ka araam hai mohabbat
kabhi mohabbat hai milan ka roop
kabhi tanhayi ki tarah veeran hai mohabbat
kabhi mohabbat hai benaam zindagi
kabhi zindagi kehti hai mera naam hai mohabbat
|