Miscellaneous/Mix Poetry !! All Miscellaneous/Mix poetry share here !! |
Advertisement |
|
Thread Tools | Display Modes |
|
(#1)
![]() |
|
|||
Guzartay lamho mujhay bataao
Ke zindagi ka asool kiaa hai Tamaam cheezain agar haqeeqat mein aik he hain To phool kion hai, babool kiaa hai Jo meri aankhon ke daaeray mein Hazaar rangon mein muntashir hai Har aik manzar, har aik aahat Har aik rastay ka hamsafar hai Kaheen samandar saa mahw-e-haerat Kaheen hawaaon saa be-khabar hai Kaheen bayaaban misaal-e-khaali Meri he khwaahish ka aks-gar hai To phir bataao siwaye khwaahish ke Meray haathoN mein kiaa hunar hai GharoN say niklo to soch laina Ke be-gharii ka hasool kiaa hai DiloN kii tameer mat giraao Ke khwaahishon ka yehi to ghar hai Tamaam haathon mein aaienay hain To kon kis say chupaa hoaa hai Agar sada ka wajood kaano say munsalik hai To kon khushboo mein bolta hai Agar samandar kii had hai sahil To kon aankhon mein phailta hai Tamaam cheezain agar yehii haiN To kon cheezon say maawaraa hai Kisse khabar hai badalti rutt nay Puraanay patton say kiaa kahaa hai Yeh kon baadal say jaa ke poochay Ke itnay mosam kahan raha hai Jo aaj dekhaa hai kal nah ho gaa Koii bhii lamha attal nah ho gaa Meri nigaahon ke aaieno mein Ajeeb manzar jhalak rahay hain Kaheen ujaaloN pay taergi hai Kaheen andheray chamak rahay hain Kaheen shagufon mein roshni hai Kaheen dareechay mehak rahay hain Kaheen pay sadyaan rukii kharrii hain Kaheen zamaanay bhatak rahay hain Safar hai kaisa ke meray paaon Baghair chalnay ke thak rahay hain Khaamosh pairro tumharay Saaye mein Kitni naslon nay dam liyaa hai Mujhay bataao ke motaron ke Dhuhwain say pehlay jo gard urrhi thi Oss ke parday say aanay waalay Musaafiron mein kamaal kia tha Mujhay bataao ke mujh say pehlay Gaye huwon ka jamaal kiaa thaa Tumhaari aankhain to chaand suraj ki IbtedaaoN say aashnaa hain Mujhay bataao ke pehlay suraj ka haal kia tha Tumhaaray shaanon pe chaandni ki Taweel zulfain bikhar ke mehkeen To aasman ko malaal kiaa thaa Tumhaaray qadmon mein sar jhukaatay Udaas rastay kii bandagii mein Sawaal kia tha Hawaein pehli baar chaleen to Tumhaaray dil mein khayaal kia tha Tumhaari shaakhon nay kin ghataaon ki Beqaraari say nam liyaa hai Guzartay lamho mujhay bataao Zameen kis kii talaash mein hai Sitaaray kiaa cheez dhoondtay hain Woh kia taaha‘yur thaa jis mein ab tak Pahaarr gum sum kharray hoye hain Samandaron ka jamaal kiaa hai Ke sard chashmay tarrap rahay hain Badalti rutt ka payaam kiaa hai Ke peirr uljhan mein parr gaye hain
[SIGPIC][/SIGPIC]
|
Sponsored Links |
|
Bookmarks |
Tags |
asool, zindagi |
|
|
![]() |
||||
Thread | Thread Starter | Forum | Replies | Last Post |
~*~* zinDagi~*~* | Dashing Ahsan | Urdu Sms | 9 | 11-20-2011 09:11 PM |
zindagi | K@IN@@T | Image Poetry | 14 | 08-23-2011 10:10 PM |
Zindagi........... | K@IN@@T | Image Poetry | 14 | 08-23-2011 09:45 PM |
Zindagi | Shahzad Khan | Image Poetry | 14 | 07-22-2010 04:01 PM |
~ Zindagi Ne Zindagi ~By ADoO | !~*AdOrAbLe*~! | Share Your Favourite Videos | 4 | 01-05-2010 07:26 PM |