Miscellaneous/Mix Poetry !! All Miscellaneous/Mix poetry share here !! |
Advertisement |
![]() ![]() |
|
Thread Tools | Display Modes |
|
(#1)
![]() |
|
|||
![]() ![]() ![]() Greattttttttt Thread
Jitne Bhi Alfaaz Tareef Mein Bayan Karon Kam Hain ![]() ![]() ![]() Kuch To Bohat Hi Pasand Aye ![]() Tu jo na ho to jaisay sab ko chup lag jaati hai Aapas mein kya baatein kertay raat, diya or main ![]() Meri ghazlon ko jo perkho to talaatum in mein Hurf-der-hurf mager dasht baser sannaata ![]() Main bhanwar ban k uter jaoon ga dil mein kehna Jis terhan kerta hai terweej-e-huner sannaata ![]() Tor laaoon ga sitaaray bhi falak say aik din Ik zara zulf muqaddar ki sanwer jaanay day ![]() Wafa k dasht mein thehroon ga saans laynay ko Phir apni laash uthaaoon ga Chala jaaoon ga ![]() Chiraagh mujh mein hai yaa main chiraagh mein hoon ShihaaB Laga hua hai tamaasha idher udher mera ! ![]() Naye aaghaaz mein hi hosla kiun tor bethay ho Jeet jaao gay tum sab kuch zara anjaam honay do ! ![]() um ko jaanay kya ghum hai Her dam hanstay rehtay ho ![]() Baalon mein meray phair k kuch dair ungliyaan Kuch naqsh dil ki rait per us nay bana diye ![]() Us nay kamaal-e-shoq say dekha meri taraf Main nay to aaino k sab hi fun jala diye ![]() Aai hai mout bhaag k jaaoon kidher ko main Aasaab us nay saaray k saaray thaka diye ![]() Pairon pay sir-saraati hui chaandni k paas Dil nay kisi ki yaad k manzer bicha diye ! ![]() Hum nay to mannaton k bhi dhaagay berha diye Jaa, ishq k mazaar pay ab tu cherha diye ![]() Kaisay kahoon k kitna wo khul ker mila hai aaj Sherm-o-haya k saaray kabooter ura diye ![]() Dash-e-wafa mein dekh, kahaan say kahaan talak Shoq-e-safar nay paaoon k chaalay berha diye ![]() Hum nay kahay hein shair bhi phir hoslay k saath Kaandhay tum nay piyaar say jab thap-thapa diye ! ![]() Jis k liye main likhta wohi jab nahi raha Main nay kitaab-e-zeest k purzay ura diye ![]() Her her qadam pay gir k sambhalta chala gaya Jeenay k us nay mujh ko saleeqay sikha diye ![]() Ab muntazir hein hum haram-e-bay-shumaar k Ghum bhi to daynay waalay nay bay-intayha diye ![]() Ik baar main nay yaar say poocha jo haal-e-dil Us nay zara sa hans k sitaaray gira diye ![]() Us yaar k diye huway misray ki mouj mein Hum nay bhi logon shair chandd gun-guna diye ![]() Main to samhaj raha tha jalein gay tamaam raat Laykin rahay hein saath kabhi bay-wafa diye ![]() Un say kaheen na serd hui jab jigar ki aag Angaaray jo bachay thay, hum hi ko thama diye ![]() ![]() Thanks 4 Sharing
დ∫დ→◄●♥●►↔ǺήĐằ~◊Ệ◊~฿άΫǻЙ↔◄●♥●►←დ∫დ ![]() ![]() ![]() ![]() |
Sponsored Links |
|
(#2)
![]() |
|
|||
![]() ![]() ![]() Quote:
Quote:
Quote:
Very Nice Thread Owi, All Shairy sharing is Beautiful keep posting New poetries
[SIGPIC][/SIGPIC]
قطرہ اے شبنم کی طرح اڑ جاینگے گل سے ایک یاد سی رہ جائے گی گلشن میں ہماری .ดธ.*ดจ) ธ.*จ) ธ.ดธ.*ดจ)ธ.*ดจ .`ท.ธ(จ`ท.ทดจ) . * .*..*...* *......`ท.ธ.ทด* (จ`ท.ทดจ ธ.♥ดจ`♥.ธธ.♥ดจ`♥.ธธ.♥ดจ`♥.ธธ.♥ดจ`♥.ธธ.♥ ดจ `♥. M A H ก ..ดธ.*ดจ) ธ.*จ) ธ.ดธ.*ดจ)ธ.*ดจ .`ท.ธ(จ`ท.ทดจ) . * .*..*...* *.....`ท.ธ.ทด* (จ`ท.ทดจธ.♥ดจ`♥.ธธ.♥ดจ`♥.ธธ.♥ดจ`♥.ธธ.♥ดจ`♥ .ธธ.♥ดจ`♥ |
(#3)
![]() |
|
|||
![]() ![]() ![]() -:||:- Ghazal Bahaana Karoon -:||:-
Bikhray bikhray rehtay ho Kya kya sehtay rehtay ho Tum ko jaanay kya ghum hai Her dam hanstay rehtay ho Rasta hai na manzil hai Phir bhi chaltay rehtay ho Jee uthnay ki koshish mein Akser mertay rehtay ho Taanay bikhray khuwaabon k Ab tak buntay rehtay ho Apni baaton per khud hi Uljhay uljhay rehtay ho ShihaaB jee is duniya say Tum bhi dertay rehtay ho !
![]() ||||Owi||||
|
(#4)
![]() |
|
|||
![]() ![]() ![]() Quote:
wah lajawab
[SIGPIC][/SIGPIC]
|
(#5)
![]() |
|
|||
![]() ![]() ![]() |
(#6)
![]() |
|
|||
![]() ![]() ![]() -:||:- Ghazal Bahaana Karoon -:||:- ( 1 ) Ghar chor aaye gaaon k rastay bhula diye
Us ki talab nay paaoon bhi pagal bana diye Poochi thi apnay yaar ki main nay koi pasand Aahistagi say raat nay mujh say kaha, diye Berkhaa k shaamiyaanay say baahar nadi k paas Us nay hein apni dhoop say perday utha diye Keh do shab-e-siyaah say lay aaye kaalakein Haathon pay rakh k nikli hai khalq-e-khuda diye Hum nay jala liya hai dilon k chiraagh ko Kitnay bujha sakay gi zameen per hawa diye Ik shour sa bapa hai maraasim ka sheher mein Us nay nadi k dono kinaaray mila diye Baalon mein meray phair k kuch dair ungliyaan Kuch naqsh dil ki rait per us nay bana diye Us k kamaal-e-zabt ki ShihaaB khair ho Kaisay tamaam wasl k lamhay bhula diye !
![]() ||||Owi||||
|
(#7)
![]() |
|
|||
![]() ![]() ![]() -:||:- Ghazal Bahaana Karoon -:||:- ( 2 ) Bheega her aik lafz jo aansoo baha diye
Main nay kitaab-e-zeest k purzay uraa diye Kaisa ajab dhuwaan ye nawaaon say hai uttha Kis k labon nay meray naghmay jala diye Shikway gilay sab aaj teray muntazir rahay Tu nay sunay to sun k hansi mein uraa diye Us nay kamaal-e-shoq say dekha meri taraf Main nay to aaino k sab hi fun jala diye Din ka sukoon raat ki neendein jab urr gaeen Umer-e-rawaan nay hijr k lamhay bhula diye Taqdeer ka ye khail nahi, hai adaa teri Ujray huway naseeb jo mujh ko thama diye !
![]() ||||Owi||||
|
(#8)
![]() |
|
|||
![]() ![]() ![]() -:||:- Ghazal Bahaana Karoon -:||:- ( 3 ) Jis nay hamaari saans pay pehray bitha diye
Hum nay us hi ko piyaar k naghmay suna diye Basti mein aik ghar tha shareekon k naam ka Dushman nay dushmani mein sab hi ghar jala diye Kis nay chura liya hai falak ka dharakta dil Or kis nay aasmaan say taaray gira diye Un mein say aik taalib-e-khairaat main bhi tha Dehleez say faqeer jo tu nay uthaa diye Main khaak ishq khailta is khaar-zaar mein Us nay tahaffuzaat hi pehlay bata diye Us nay bhi hum ko aankh say aakhir gira diya Hum nay bhi apni aankh say aansoo gira diye Ik wo k jis k ghar mein sitaaray uter gaye Ik main tamaam raat banaata raha diye Main merr gaya to dasht bhi roye ga dekhna Ik roz khud jalaaye gi aa ker hawa diye Aai hai mout bhaag k jaaoon kidher ko main Aasaab us nay saaray k saaray thaka diye Hum ko hamaari raat ki tareekiyaan aziz Lay jaa kaheen pay or yahaan say utha diye Matt poochiye hamaaray muhaafiz ki doston Hum ko tunha dekh ker nashter chala diye Dekhi jo aik laash parinday ki taar per Main nay bhi shaakh-e-dil say parinday ura diye !
![]() ||||Owi||||
|
(#9)
![]() |
|
|||
![]() ![]() ![]() -:||:- Ghazal Bahaana Karoon -:||:- ( 4 ) Kitnay baras firaaq k yun hi ganwa diye
Umer-e-rawaan ki taiz nadi mein baha diye Phoolon say mukuraatay huway pur-gudaaz log Kis terhan aik derd nay patther bana diye Us nay bhi rakh diya yun hi lamhon ko taaq per Main nay bhi kuch nuqoosh banaaye mita diye Kuch zakham zakham shaam nay gohna diye khayaal Kuch burf-zaar lahjon nay aansoo jala diye Pairon pay sir-saraati hui chaandni k paas Dil nay kisi ki yaad k manzer bicha diye !
![]() ||||Owi||||
|
(#10)
![]() |
|
|||
![]() ![]() ![]() -:||:- Ghazal Bahaana Karoon -:||:- ( 5 ) Kya kya ni'amm na tu nay a baar-e-khuda diye
Shoq-e-badee-e-kaar mein hum nay ganwa diye Hum nay to mannaton k bhi dhaagay berha diye Jaa, ishq k mazaar pay ab tu cherha diye bazaar-e-shaam per na hui hashar tak seher Shamsun-nihaar nok-e-sinaa per saja diye Her soo faqat hawas ki dukaanein theen khul rahi Yaaron nay karobaar-e-mohabbat berha diye Hum nay udoo k saamnay khud ko kaha tera Us nay hamaaray saamnay guthnay tika diye !
![]() ||||Owi||||
|
![]() ![]() |
Bookmarks |
Tags |
bahaana, ghazal, karoon |
Thread Tools | |
Display Modes | |
|
|
![]() |
||||
Thread | Thread Starter | Forum | Replies | Last Post |
Ye lernaa aur jhagernaa to faqat Ek Bahaana hai | M A H i | Miscellaneous/Mix Poetry | 5 | 02-14-2012 04:13 PM |
KiA KaRoOn Oo LaDieS........... | maanee | Share Your Favourite Videos | 13 | 11-07-2011 09:13 PM |
ghazal begum akhtar aey mohabat tere anjam- full ghazal | FAJAAN | Video Poetry | 10 | 08-28-2011 10:30 PM |
Kya Karoon | ~wish munda~ | Miscellaneous/Mix Poetry | 9 | 10-08-2010 07:01 PM |
Tujhe main pyar karoon Aur Itna Pyaar karoon ..:) | ~ZAIN~ | Share Your Favourite Videos | 2 | 08-18-2009 08:25 AM |