Miscellaneous/Mix Poetry !! All Miscellaneous/Mix poetry share here !! |
Advertisement |
![]() ![]() |
|
Thread Tools | Display Modes |
(#1)
![]() |
|
|||
mere hamsafar Mere Humsafer, mere Hum-nasheen Main ne Rab se manga to kuch nahi Per jub bhi mangi koi dua! Nahi manga kuch bhi “Tere Siwa” Ye talab kya k mera Khuda! Naye ehad ki Sabhi rahtain, Sabhi chahtain, Wo ata kre tujhe manzlain, Ye talab kya k mera Khuda! Tujhe Bakht de, Tujhe Taj de Tujhe Takht de, Mere Humsafer, Mere Chara-ger, Ye hai mohabbat ka khatan safer Mere sath chalna zra soch ker Mere pass zarr na koi hunar Phir bhee dekh to mera hosla Mere paas jo kuch, Sabhi tera Nahi aur kuch bhi tere siwa Meri Dosti Meri Zindgi Meri Khamoshi Meri Be-basi, Meri Subha Bhi Meri Sham bhi Mera Ilm bhi Mera Naam bhi, K jo mil saken mere Daam bhi, Wo sabhi kuch tujh ko ata kre; Mere chara gr tu yaqin to kr Mujhe mangna to na aa ska Main ne phir bhi mangi yehi Dua K gwahi de ga mera Khuda Maine jub b us se talab kya! Nahi manga kuch bhi “Tere Siwa Ek bhegi hui si raaat mile Ek bhegi hui si raat mile us raat me tera hath mile tere lab se tapken jo bonden unhe mere labon ka sath mile kuch tum bi behke behke se kuch mujh pe nasha sa tari ho har pal me chaye madhoshi Ek aisi raat hamari ho phir tum aao meri bahon me main pyar karon tumhe ji bhar ke tum mujhse thora sharma jao sharma k galay se lag jao main jitna tumko pyar karon tum itne hi betab ho jao hamein pyar k kuch lamhat milen Ek bhegi hui si raat mile….! Zakhm_e_Tanhai Mein Khushbo_e_HinA Kis Ki Thi Saaya Deevar Per Mera Tha, Sada Kis Ki Thi Os ki Raftaar Say Lipti Raheen Ankhein Meri Os Ne Murr Kar Bhi Na Dekha k Wafa Kis Ki Thi Ansuon Say He Bhar Gaya Daaman Mera Haath To Main Ne Uthaaya Tha, Dua Kis Ki Thi Meri Aahon Ki Zaban Koi Samjhta Kaisay? Zindagi Etni Dukhi Meray Siva Kis Ki Thi Aag Say Dosti Os Ki Thi, JaLa Ghar Mera Dee Gai Kiss Ko Saza, Aur Khata Kis Ki Shaam e Gham Ki Qasam Shaam e Gham Ki Qasam Aaj GhamgEen Hain Hum Aa Bhe Jaa Aa Bhe ja Aaj Meray Sanam Dil PreShan Hai Raat Veeraan Hai Dekh Ja Kis Trah Aaj tAnhA Hain Hum Shaam e Gham Kii Qasam Khail Kaisa Jo PehlOo Mein tOo Hi Nahien Maar Dalay Na dArd e jUdaii Kahien Rut HaSEen Hai To Ko Kya Chandni Hai To Kya Chandhi Zulam Hai Or jUdaii Sitam Shaam e Gham Ki Qasam Ab To Aaja K Ab Raat Bhe So Gaii Zindgi Gham K Sehraon Mein Kho Gaii DhOondhatii Hai Nazar tOo Khaan Hai Magar Dekhtay Dekhtay Aaya AankhOn Mein Nam Shaam e Gham Ki Qasam Muhbat hum say karni hai Muhbat hum say karni ho to phir wada nahi karna, ye waday hum nay Dekhay hain k aksar tot jatay hain Muhbat hum say karni hai to phir zid bhi nahi karna, ye zid bhi hum Nay dekhi hai k sathi chhot jatay hain Muhbat hum say karni hai to phir tohfa nahi daina, ye tohfay hum nay Dekhay hain buht majbor kartay hain Muhbat hum say karni hai to phir shikwa nahi karna, ye shikway hum nay Dekhe hain dilon ko dor karte hain Muhbat hum say karni hai to phir roya na karna, ye aanson hum nay Dekhay hain dilon ko cheer detay hain MUJHE TUM SE BATIEN KRNI HAI Kabhi aajao tum pal bhar ko, Mujhe tum se batien krni hain, Kuch ghum k geet sunanay hain, Kuch raaz hain jo batlanay hain, Kuch dil ko b batlana hai, Kuch zakhm hain jo dikhlanay hain, Kuch dil se yaadain dhoni hain, Kuch naatay nai bnanay hain, Jo sher likhay hain teri furqat mein, Kuch sher tumhe wo sunanay hain, Kuch dard sunanay hain dil k, Kuch piyar ki batien krni hain, Kabhi aajao tum pal bhar ko, Kaash……. mein kuch b nahin hoon tere liye kuch tere liye mein ho jaon tere dil men rahoon ankhon mein basoon dharkan men shamil ho jaon to jab koi baat kare mera naam b us meia shamil ho to jab b mange kuch rab se meri zaat b us men shamil ho har bar nahin ik baar sahi ik bar to aisa ho jae ik pal k liya ae jan-e-wafa tujhe mujh se mohabbat ho jae AY KAASH K AISA HO JAE AY KAASH K AISA HO JAE Neend Nahi aati Rahte hain unke khayalon me, ab neend mujhe aati nahi, hanste hai ab jab bhi hum, bas yaad unhi ki aati hai, wo uski meethi muskan, humara dil dhadkati hai, jagte sote har pal hi, unki yaad hume tadpati hai, bas ek jhalak unki paakar, hum khush ho jaaya karte hain, jab bhi wo aate hain saamne, hum chup ho jaya karte hain, Bolta hai per dil mera, kuch bol sake to tu kah de, per sochta hoon main, is baat se, mera dil use na kho baithe, wo dost nahi mera sab kuch hai, ye kaun use batlaye, kaas waqt ke saath hi, wo apne aap samajh paaye, Ay …MAHNOOR ab teri yaad me, kisi kaam me ruchi nahi, dil me tum, dhadkan me tum, aur baat kisi ki bachi nahi, rahte hain tumhare khayalo me, an neend mujhe aati nahi….. jis ki chahat ko jis ki chahat ko her chaht say mootaber rakha, Khud tha ghamgeen mager us ko baykhaber rakha, aaj wahi shakhs mayray g ko jalata hay bohat, roh ko ghayal ankhoon ko rulata hay bohat, kon c main nay thee us say khudaii mangi, jub bhi mangi tu fakt us say mohabt mangi, mayri chaht ka badla mujh ko istarah say mila, hansta jo dil tha mayra mujh ko hay ujra sa mila. ![]() Na Jane Woh Mujhse Na Jane Woh Mujhse Kya Chahta Hai Meri Maut Ya Meri Zindagi Chahta Hai Baatein Toh Choorhne Ki Karta Hai Saath Khush Hone Ki Dua Karta Hai Na Jane Woh Mujhse Kya Chahta Hai Mere Aansoo Ya Meri Hansi Chahta Hai Woh Shayed Mujhe Khabi Nahin Samajh Sakta Ish Liye Har Waqt Mujhse Door Hona Chahta Hai Keh Do Ush Se Dhuniya Waloon Woh Meri Zindagi Nahin Maut Chahta Hai Keh Do Ush Se Jahan Waloon Woh Meri Khushi Nahin Aansoo Chahta Hai Wo Fasana Yaad Aata Hai Jo keh na sake wo fasana yaad aata hai Guzra hua dilkash zamana yaad aata hai Jab husn se ishq takraya tha kabhi Ghayal hua tha ek parwana yaad aata hai Dil se mohabbat ke tufaan uthe the Jab aankhon ka sapne sajana yaad aata hai Kasturi jaise din mehakte the Mere raaton ka gungunana yaad aata hai Aankhon ka mil kar jhuk jana nahin bhula Hothon ka thar_tharana yaad aata hai Mera usko kankhiyon se dekhna Baar baar aur uska wo muskurana yaad aata hai Raaton ko tanha yaad mein kisiki... Dhuan udata ek deewana yaad aata hai ![]() Wo tera ruthna mujh se Wo tera ruthna mujh se, Mera tujh ko mana lena, Muhabbat ki nishani hai, Gale mujhko laga lena, Muhabbat jis sy hoti hai, Usi pe maan hota hai, abhi mein ruth jau to mujhy tum mana lena, Anna sy dur hi rehna k, Ye sab kuch mita degi, Muhabbat ke samander mein kbhi tofan b uthta hai, Is tofan mein janam mujhy kashti bana lena, Ager dubenge hum dono tou aik sath hi debenge, Mera tumsy ye wada hai Mager tum bhi nibha leyna. Toot jatay hain Toot jatay hain sabhi rishtay magar dil ka dil say rishta apni jaga tujh se na milnay ka yaqeen hai magar tujh se milnay ke dua apni jaga........ ....... Hume Hansne - Hasane ki aadat hai, Nazron se Nazar Milane ki aadat hai, Par hamari to nazar unse hai ja mili, Jinhe nazar Jhukake Sharmane ki Aadat hai Dard beshumar mujko Dard beshumar mujko ye zamane se mile log kyun kehte hain pyar nibhane se mile teri jafa se to haasil hua hai zaqm mujhe kya kya tohfe tujhe dil ko dukhane se mile ye zuroori to nahi ke eid hi ka mauqa ho wo gale mujh se kisi aur bahane se mile dil me chupa kar ghamon ka ek samandar mile jab bhi to muskura ke zamane se mile log kehne lage hain tujh ko shagufta ` `haseeb ` ` ye alqaab tujhe gham ko chupaane se mile ![]() Nahi Jati Ek Roz Tum Ne Thama Tha Hath Mera Mere Hath Se Tumhare Hath Ki Khushbu Nahi Jati Tum Buhat Pyar Se Pukarte The Naam Mera Mere Kaano Se Tumhari Wo Awaz Nahi Jati Mein Bulata Bhi Nahi Tha Or Tum A Jate The Ab Bulane Pr Bhi Meri Awaz Tum Tk Nahi Jati Bas Chuke Ho Tum Meri Nas Nas Mein Lahu Ki Tarha Meri Ulfat Tumhari Rooh Mein Utar Kyun Nhi Jati Mein Janta Hoon Ye Sheher Ye Rastey Tumhare Nahi Phir Bhi Mere Dil Se Intezar Ki Adat Nahi Jati mehroomi hi aksar mere zindagi har chand yahi paighaam laati hai mehroomi hi aksar mere hisse me aati hai umr bhar jisko bachaya zamane ki hawaaon se wo shamma hi dekho ab mera ghar jalaati hai amaarat ne meri duniya ka nazriya badal daala jo pehle ruth baithi thi wahi duniya manaati hai ye chidya kitni be parvah hai shajar ke katne se do din ke liye sahi par apna ghar banaati hai zamaane me zardaar hi to qismat ke maare hain log kyun kehte hain ke daulat muqaddar banati hai kisike dard me hasne ki aadat achi nahi ` `haseeb ` ` yahi sifat hai jo insaan ko patthar banaati hai ![]()
|
Sponsored Links |
|
(#2)
![]() |
(#3)
![]() |
|
|||
|
(#4)
![]() |
(#5)
![]() |
|
|||
|
(#6)
![]() |
![]() ![]() |
Bookmarks |
Tags |
meri, min, tanhi |
Thread Tools | |
Display Modes | |
|
|
![]() |
||||
Thread | Thread Starter | Forum | Replies | Last Post |
MIN or MERI TANHI | Úƒƒƒ | Miscellaneous/Mix Poetry | 7 | 07-27-2010 02:08 AM |
Main or meri tanhi | Úƒƒƒ | Miscellaneous/Mix Poetry | 5 | 07-27-2010 01:54 AM |
Main OR mERI tANHI | Úƒƒƒ | Miscellaneous/Mix Poetry | 4 | 07-27-2010 01:54 AM |
Min or meri tanhi | Úƒƒƒ | Miscellaneous/Mix Poetry | 3 | 07-07-2010 12:35 PM |
Main or meri Tanhi | Úƒƒƒ | Miscellaneous/Mix Poetry | 1 | 08-22-2009 10:18 PM |