Great Urdu Poets&Poetry Share All Great Urdu Poets Poetry Here |
Advertisement |
![]() ![]() |
|
Thread Tools | Display Modes |
(#11)
![]() |
|
|||
![]() ![]() ![]()
chaman main subah ye kahti thi ho kar chashm-e-tar shabnam bahar-e-bag to yun hi rahi lekin kidhar shabnam arq ki bund us ki zulf se rukhsar par tapki tajub ki hai jage ye pari khurshid par shabnam hamain to bag tujh bin khana-e-matam nazar aya idhar gul pharte the jab, roti thi udhar shabnam kare hai kuch na kuch tasir sohbat saf tabon ki hui atish se gul ke baithate rashq-e-sharar shabnam bhala tuk subah hone do ise bhi dekh lewenge kisi ashiq ke rone se nahin rakhti khabar shabnam nahin asbab kuch lazim subak saron ke uthne ko gai ur dekhte apne bagair az bal-o-par shabnam na paya jo gaya is bag se hargiz surag uska na palti phir saba idhar, na phir ai nazar shabnam na samjha Dard hamne bhed yan ki shadi-o-gam ka sahar khandan hai kyon roti hai kis ko yak kar shabnam
|
Sponsored Links |
|
(#12)
![]() |
|
|||
![]() ![]() ![]()
pne tain to har ghari gam hai, alam hai, dag hai yad kare hamain kabhi kab ye tujhe dimag hai ji ki khushi nahin giro sabz-o-gul ke hath kuch dil ho shagufta jis jagah wo hi chaman hai bag hai kis ki ye chashm-e-mast ne bazm ko yun chaka diya masl-e-habab sar nagun sharam se har ayag hai jalate hi jalte subah tak guzri use tamam shab dil hai k shola hai koi, shama hai ya chirag hai paiye kis jagah bata aye but-e-bewafa tujhe umr-e-guzashta ki tarah gum hi sada surag hai sair-e-bahar-o-bag se ham ko maf kijiye us k khayal-e-zulf se dard kise farag hai ?
|
(#13)
![]() |
|
|||
![]() ![]() ![]()
agar yon hi ye dil satata rahega to ik din mera ji hi jata rahega main jata hun dil ko tere pas chore meri yad tujhko dilata rahega gali se teri dil ko le to chala hun main pahunchunga jab tak ye ata rahega qafas main koi tum se ai ham-safiron khabar kal ki hamko sunata rahega khafa ho k ai “Dard” mar to chala tu kahan tak gam apna chupata rahega
|
(#14)
![]() |
|
|||
![]() ![]() ![]()
Duniya mein kaun kaun na yak baar ho gaya, Par munh phir is tarf na kiya us ne jo gaya. Phirti hai meri khaak saba dar-b-dar liye, Ai chashm-e-ashkbaar yeh kya tujh ko ho gaya. Aagah is jahaan mein nahin ghair be khudaan, Jaaga wahi idhar se jo mund ankh so gaya. Tufaan-e-Noah ne to dubai zamin faqt, Main nang-e-khalq saari khudaai dabo gaya. Barham kahin na ho gul-o-bulbul ki asshti, Darta hun aaj baagh mein woh tund khu gaya. Waiz kise darawe hai yom-ulhisab se, Giriya mera to naama-e-aamal dho gaya. Phulenge is zabaan mein bhi gulzar-e-maarfat, Yaan main zamin-e-sheir mein yeh tukhm bo gaya. Aya na aitdaal par hargiz mazaaj-e-dahar, Main garche garm-o-sard-e-zamana samo gaya. Ai Dard jis ki ankh khuli is jahan mein, Shabnam ki tara jaan ko apni woh ro gaya.
|
(#15)
![]() |
|
|||
![]() ![]() ![]()
tum aj hanste ho hans lo mujh par ye aamaish na bar bar hogi main janta hun mujhe khabar hai k kal faza khushgawar hogi rahe muhabbat main zindagi bhar rahegi ye kashamakash barabar na tumko qurbat main jit hogi na mujhko furqat main har hogi hazar ulfat sataye lekin mere iradon se hai ye mumkin agar sharafat ko tumne chera to zindagi tum pe war hogi
[SIGPIC][/SIGPIC] I wIsh I hAd n0t FaLl3n in l0vE wItH u FoR th3 MiSeRy of loV3 is mOre then the plEasUre of It the PaIn ,,, the Pain aLwaYs Pain ThaT's L0v3
|
(#16)
![]() |
|
|||
![]() ![]() ![]()
tujhi ko jo yan jalwa farma na dekha barabar hai duniya ko dekha na dekha mera guncha-e-dil hai woh dil-girifta k jis ko kaso ne kabhi wa na dekha aziat, musibat, malamat, balayen tere ishq main ham ne kya kya na dekha kiya mujh ko dagon sarw-e-chiragan kabho tu ne akar tamasha na dekha tagaful ne tere ye kuch din dikhaye idhar tu ne lekin na dekha, na dekha hijab-e-rukh-e-yar the ap hi ham khuli ankh jab, koi parda na dekha shab-o-roz aye "Dard" darapai hun us ke kaso ne jise yan samjha na dekha
[SIGPIC][/SIGPIC] I wIsh I hAd n0t FaLl3n in l0vE wItH u FoR th3 MiSeRy of loV3 is mOre then the plEasUre of It the PaIn ,,, the Pain aLwaYs Pain ThaT's L0v3
|
![]() ![]() |
Bookmarks |
Tags |
collection, dard, khuwaja, mir |
|
|
![]() |
||||
Thread | Thread Starter | Forum | Replies | Last Post |
Hai Ishq-e-Muhammad(S.A.W.W) - Mir Hasan Mir | cutepoison | Hamd O Naat | 3 | 08-18-2012 12:19 AM |
^^Dard Ne Dard Se Yeh Kaha^^By AdOrAbLe | !~*AdOrAbLe*~! | Your Own Poetry | 6 | 08-16-2012 06:19 PM |
Na mir hoon na galab hoon | m.asghar mirpuri | Your Own Poetry | 3 | 08-16-2012 06:09 PM |
Dard Hi Dard Hain Meri Zindagi Main | ~ Bikhre Lamhe ~ | Miscellaneous/Mix Poetry | 5 | 08-08-2012 05:12 PM |
(¯`·... Aek nazam shaheena mir kay liey ...·´¯) | LAMS | Miscellaneous/Mix Poetry | 8 | 07-23-2010 07:55 PM |