Miscellaneous/Mix Poetry !! All Miscellaneous/Mix poetry share here !! |
Advertisement |
![]() ![]() |
|
Thread Tools | Display Modes |
(#111)
![]() |
|
|||
One Of My Favorite
bhagney lagta hai aakhir mehfilo'n se aadmi janta hai jaise jaisey dosto'n ko aadmi tu dil e hassas rakhta hai to itna jaan le dair tak jeete nahee'n hai terey jaisey aadmi terey andar bus rahi hai teri sari kaainaat tu akaila to nahee'n hai ai akeley aadmi ishq sahab kha gaye hain achhe achho ko jaha'n kia karain aisey jaha'n mai mere jaise aadmi khwab bhi kya dekhne hain ham gharibo'n ne ai dost daulat e ta'abeer ho tau khwab daikhey aadmi maskh hote ja rahe hain aaino pe aainey khatm hote ja rahe hain kaise kaisey aadmi ishq hai ik tajruba jo ye bata'ta hai hamain paao'n phailata hai kyu'n chadar se barh kar aadm
|
Sponsored Links |
|
(#112)
![]() |
|
|||
Qisa Abhi Hijaab Sey Aagay Nahi Barha
Mai'n, App, woh janab sey Agay Nahi barha Mudat Hoi' Kitab-e-Muhabbat Shuro' Kiye Laikin Mai'n Pehlay Baab sey Agay Nahi barha Lambi Musafatien Hain Magar is sawar Ka Paon Abhi' Rakaab Sey Agay Nahi' Barha Toul'-e-Kalam k Liye MaiN Ney Kiye Sawal Woh Mukhtasir Jawab Sey Agay NahI barha Rukhsar Ka Pata Nahi' Ankhe'n To Khoob Hain Deedar Abhi Naqab Sey Agay Nahi' Barha Woh Laz'at-e-Gunah Sey Mehroom He Raha Jo Khuwahish-e-Sawab Sey Agay NahI Barha
|
(#113)
![]() |
|
|||
Na Woh Farishta Ho Na Farishtey Jaisa Ho
Mujhay Talash Hay Us Ke Jo Meray Jaisa Ho Mare Khaloos Ko Pehchanta Ho Bas Kafi Hay Woh Koi Bhi Ho Kahin Bhi Ho Kaisa Bhi Ho Jo Khuwab Denay Ko QaDir Ho Meri Aankhon Ko Meri Muhabbat Ko Pehchan Sakay Woh Aisa Ho Agar Kabhi Rooth Jaoon May Us Say To Muskra K Manaye Woh Aisa Ho Jo Baat Karey To Woh Nibha Bhi Sake Iradon Mein Woh Apne Chahtaoon Jaisa Ho Dukhon Mein Hansney Ka Hunar Janta Ho Ik Aisa HumSafar Jo Samander Ki Tarha Gehrah Ho Us K Pyar Ki Thandak Ho Mare Liyae Aisi K Woh To Bilkul Aasman K Chand Jaisa Ho Woh Sirf Mera Ho Jo Nighaon Main Haya Rakhta Ho Umar Bhar Sath Chale Woh Aisa Ho..
|
(#114)
![]() |
|
|||
Main Aiyna Hoon,Wo Mera Khayal Rakhti Hay
Main Toot-ta Hoon Tu Chun Kar Sambhal Rakhti Hay, Har Aik Maslay Ka Hal Nikal Rakhti Hai Zaheen Hai,Mujhay Hairat Main Daal Rakhti Hay, Main Jab Bhi Tark-e-taluq Ki Baat Karta Hoon Woh Rokti Hay Mujhay, Kal Pay Taal Rakhti Hay, Woh Mairay Dard Ko Chunnti Hay Apnay Pooron Say Woh Mairay Wastay Khud Ko Nidhaal Rakhti Hay, Woh Dobnay Nahi Daiti Hay Dukh Kay Darya Main Mairay Wajood Ki Naow Uchaal, Rakhti Hay, Duain Uss Ki , Balaoon Ko Rook Laiti Hain? Woh Mairay Chaar Soo Hathon Ki Dhaal Rakhti Hay, Ik Aisi Dhunn ,Kay Nahin Phir Kabhi Main Nay Suni Woh Munfarid Saa Hansi Main Kamal Rakhti Hay..... , Usay Nadamatain Mairi Kahan Gawara Hain,, Woh Mairay Wastay Asaan Sawal Rakhti Hay, Bichar Kay Uss Say Main Duniya Ki Thokaron Main Hon Woh Pass Ho Tau Mujhay Lazawaal Rakhti Hay......... , Woh Muntazir Mera Rehti Hay Dhoop Main Main Laut-ta Hoon To Chahoon Nikal Rakhti Hay...!
|
(#115)
![]() |
|
|||
عشق میں خود سے محبت نہیں کی جا سکتی پر کسی کو یہ نصیحت نہیں* کی جا سکتی کُنجیاں خانئہ ہمسایہ کی رکھتے کیوں* ہو؟ اپنے جب گھر کی حفاظت نہیں کی جا سکتی کیسے وہ بستیاں آباد کریں گے جن سے در و دیوار کی عزت نہیں* کی جا سکتی کچھ تو مُشکل ہے بہت کارِ محبت اور کچھ یار لوگوں سے مشقّت نہیں کی جا سکتی طائرِ یاد کو کم یاد تھا شجرِ دل ورنہ بے سبب ترکِ سکونت نہیں کی جا سکتی اِک سفر میں کوئی دو بار نہیں لُٹ سکتا اب دوبارہ تیری چاہت نہیں کی جا سکتی کوئی ہو بھی تو ذرا چاہنے والا تیرا راہ چلتوں سے رقابت نہیں کی جا سکتی آسماں پر بھی جہاں لوگ جھگڑتے ہوں* جمال اس زمیں کے لئے ہجرت نہیں کی جا سکتی
|
(#116)
![]() |
|
|||
surkh chilman mai hasee'n taj mahal ho jaisey
aapka husn mohabbat ki ghazal ho jaisey aa'o kuchh dair zamane se kahain door chalai'n yoo'n jia jaye k buss aakhri pall ho jaisey kyu'n nahi aata tujhey meri mohabbat pe yaqee'n kyu'n ye lagta hai terey mathey pe ball ho jaisey yu'n qareeb aayain k bichhrain tau koi runj na ho sans laina bhi mohabbat mai khalal ho jaisey yu'n utthi jaisey koi barq chamak jaye kahee'n ikk nazar sarey sawalaat ka hall ho jaisey --------------------------------------------
|
(#117)
![]() |
|
|||
|
(#118)
![]() |
|
|||
Dard kaisa bhi ho ankh nam na karo Raat kaali sahi koi gham na karo Ik sitara bano jagmagatay raho Zindagii mein sada muskaratay raho Baant`ni hai agar baant lo har khushi Gham na zahir karo tum kisi per kabhi Dil ki gehraai mein ghum chupatay raho Zindagii mein sada muskaratay raho Ashk anmool hain kho na dena kahin In ki har boond hai motiyoon se haseen In ko har ankh se tum churatay raho Zindagii mein sada muskaratay raho Faaslay kam karo dil milatay raho Zindagii mein sada muskaratay raho
|
(#119)
![]() |
|
|||
Koi hath nahi khali hai Ye nagri kaisi hai koi kisi ka dard na jane sab ko apni padi hai Uska bhi kuch haq hai aakhir Usne mujhse nafrat ki hai Phool dawa jaise mahke hai kisi bimar ki subah hui hai Jaise sadiyan beet chuki ho Phir bhi aadhi raat abhi hai Kaise kategi tanha tanha Itni sari umer padi hai Hum dono ki khub nibhegi Main bhi dukhi hu woh bhi dhuki hai
|
(#120)
![]() |
|
|||
Maine usko salam likh bheja hai
Haale dil tamam likh bheja hai Maine pucha tere hont kaise hain Usne ik lafz jaam likh bheja hai Maine pucha tere baal kaise hain Usne Qudrat ka inaam likh bheja hai Maine pucha kab hogi mulaqaat Usne qayamat ki shaam likh bheja hai Maine pucha intna tadapti kyun hai Us ne jawani ka inteqam likh bheja hai Maine pucha tere khadu khal kaise hain Usne husne tamam likh bheja hai Maine pucha tujhe nafrat kis cheez hai Usne Kambakhat Mera hi naam likh bheja hai
|
![]() ![]() |
Bookmarks |
Tags |
collection, poetry, shayeri sach bolti hai |
|
|
![]() |
||||
Thread | Thread Starter | Forum | Replies | Last Post |
""Babiez Drunk"" (funny) | SHAYAN | Babies World | 40 | 08-26-2011 04:11 AM |
""Apni Ankhon K Ashk"" | SHAYAN | Miscellaneous/Mix Poetry | 20 | 07-20-2011 03:24 AM |
*CongratzZ "H.Z" 4 "7000" PoSts* | ~*Gillanii | Birthday & Other Wishes | 41 | 07-20-2011 02:01 AM |
**i love u in ""different languages""** | **heer4u** | Fun | 9 | 03-02-2009 02:13 AM |