Miscellaneous/Mix Poetry !! All Miscellaneous/Mix poetry share here !! |
Advertisement |
![]() ![]() |
|
Thread Tools | Display Modes |
(#132)
![]() |
|
|||
Kismet ki aek chal ne patthar bana dia
Mujh ko mere zawal ne patthar bana dia Mangi gae thi zindage se zindage ki bheek Sail kay ek sawal ne patthar bana dia Yadon ki aek lahar ne sakta sa kar dia Dil ko kisi khayal ne patthar bana dia San do hazar das ka pucho na doston Mujh ko is aek sal ne patthar bana dia Jis shahr e bemisal men buth hai mera gara Os shahar e bemisal ne patthar bana dia Marne ka khauf to na tha sahir mujhe magar Marne kay ahtamal ne patthar bana dia
![]() |
(#133)
![]() |
|
|||
sar hi ab phoriey nidamat men
neend ane lagi hai forqat men hen daleelen tere khalaf magar sochta hun teri himayat men ruh ne ishq ka fareb dia jisim ka jisim ki adawat men ab fakat adaton ki warzish hai ruh shamil nahin shikayat men ishq ko darmian na lao kay men cheekhta hun badan ki esrat men yeh kuch asan toh nahin hai kay hum ruthte ab bhi hen morawat men who joh tamer hone wali thi lug gae aag os emarat men apne hojre ka kia bayan kay yahan khoon thuka gaya shararat men who khala hai kay sochta hun men os se kia guftugu ho khilwat men zindage kis tarah basar hogi dil nahin lug raha mohabat men
![]() |
(#134)
![]() |
(#135)
![]() |
|
|||
|
(#136)
![]() |
|
|||
|
(#137)
![]() |
|
|||
|
(#138)
![]() |
|
|||
is tarah teri talab dil men basa li hum ne
tujh ko paya na magar omar gawa li hum ne tere wadon kay sahare to zinda hen abhi maut to warna kae bar he tali hum ne teri dunya se to bohut duur nikal aey hen teri hasrat na magar dil se nikali hum ne samne sub kay meri jan bhala q rote apni ankhon ko yeh adat nahin dali hum ne mil rahi hen mohabat men kesi sazaeyn sahir jese jannat se koi cheez chura li hum ne
![]() |
(#139)
![]() |
|
|||
Yeh jub se mohabat jawan ho gae hai
To dilchasp har ek dastan ho gae hai Ghamon laut jao kisi aur janib Khushi ab meri razdan ho gae hai Sitaron ko chuna bhi lagta hai mumkin Meri rah ab kahkashan ho gae hai Howi phir se sar sabz meri yeh dharti Who chahat ka ab asman ho gae hai Meri zindage men sahir lauti hen khushian Gulon sa mahakta jahan ho gae hai
![]() |
(#140)
![]() |
|
|||
Jub kari se kari nahin milti
Wajah e afsurdgi nahin milti Pehle purkaryan na milti thin Aur ab sadgi nahin milti Husun men ishq dhundne walon Dhoop men chandni nahin milti Agahi ki talab na ho jub tak Tub talak agahi nahin milti Tum gaey ho to mere kamre men Shey jagah par koi nahin milti Khuwab jese shahar ka dekha tha Wesi koi gali nahin milti Kia kahun daur hi kuch aesa hai Chain ki ek ghari nahin milti Nit naey tajurbe na hon to sahir Soch ko tazgi nahin milti
![]() |
![]() ![]() |
Bookmarks |
Tags |
ghazlen, meri, pasandeeda |
|
|
![]() |
||||
Thread | Thread Starter | Forum | Replies | Last Post |
Allah Kay Na-Pasandeeda Log | Nida-H | Quran | 10 | 07-01-2012 01:52 PM |
Mere pasandeeda nazam | Zafina | Image Poetry | 9 | 08-24-2011 06:41 AM |
6-na-pasandeeda-batein | ! HEER | Islamic Images And Miracle Pics | 5 | 08-05-2011 01:51 PM |
|!|!> Aap K PasandeeDa Asha'aaR <!|!| | "K.G" | Miscellaneous/Mix Poetry | 390 | 07-14-2010 01:44 AM |
Ghazlen | ! HEER | Miscellaneous/Mix Poetry | 8 | 07-22-2009 11:10 PM |