Miscellaneous/Mix Poetry !! All Miscellaneous/Mix poetry share here !! |
Advertisement |
![]() ![]() |
|
Thread Tools | Display Modes |
(#1501)
![]() |
Sponsored Links |
|
(#1502)
![]() |
|
||||
Suno Larki..
Abhi Tum Ishq Mat Karna Abhi Guriya Se Khelo Tum Tumhari Umar Hi Kya Hai Faqt Satra Baras Ki Ho Abhi Masoom Bachi Ho Nahin Maloom Abhi Tum Ko K Jab Yeh Ishq Hota Hai To Insaan Kitna Rota Hai Sitaray Toot Jatay Hain Saharay *** Jatay Hain Abhi Tum Nay Nahin Dekha K Jab Sathi Bichartay Hain Tu Kitna Dard Milta Hai K Har Furqat K Mousam Main Hazaron Ghum Ubhartay Hain Hazaron Zakhm Khultay Hain Suno Larki.. Meri Maano Parhai Par Tawajo Do Kitaabon Main Gulabon Ko Kabhi Bhoolay Say Mat Rakhna Kitabain Jab Bhi Kholo Gi Yeh Kanton Ki Tarhan Dil Main Chubhain Gay Khoon Bahayen Ge Tumhain Pehron Satayen Ge Kisi Ko Khat Nahin Likhna Likhai Pakri Jati Hai Bari Ruswai Hoti Hai Kisi Ko Phone Mat Karna Sadayen Dil Dukhati Hain Woh Awazain Satati Hain Meri Nazmain Nahin Parhna Yeh Mehshar Utha Dein Gi Tumhain Pagal Bana Dein Gi Suno Larki.. Meri Mano Apni Taqdeer Say Tum Khul K Mat Larna Abhi Guriya Se Khelo Tum Abhi Tum Ishq mat kerna..
|
(#1503)
![]() |
|
||||
zaraa sii baat pe har rasm tor aayaa thaa
dil-e-tabaah ne bhii kyaa mizaaj paayaa thaa muaaf kar naa sakii merii zindagii mujh ko vo ek lamhaa ki maiin tujh se tang aayaa thaa shaguftaa phuul simaT kar kalii bane jaise kuchh is tarah se tuune badan churaayaa thaa guzar gayaa hai ko_ii lamhaa-e-sharar kii tarah abhii to main use pahachaan bhii na paayaa thaa pataa nahiin ki mere baad un pe kyaa guzarii main chand Khvaab zamaane mein chhor aayaa tha
|
(#1504)
![]() |
|
||||
hans ke bolaa karo bulaayaa karo
aap kaa ghar hai aayaa jaayaa karo muskurahaT hai husn kaa zevar ruup barhataa hai muskuraayaa karo had se barh kar hasiin lagate ho jhuuThii qasmen zaruur khaayaa karo hukm karanaa bhii ek saKhaavat hai ham ko Khidamat ko_ii bataayaa karo baat karanaa bhii baadashaahat hai baat karanaa na bhuul jaayaa karo taa ke duniya kii dil_kashii na ghaTe nit naye pairahan mein aayaa karo kitane saadaa mizaaj ho tum ’****’ us galii mein bahut na jaayaa karo
|
(#1505)
![]() |
|
||||
Kaha ussnay
Tab waqai mujhey tum sey muhabbat thi Kaha mainay Main tu ab bhi tum sey muhabbat kerta hoon Woh tab kii baat kerti hai Main ab ki baat kerta hoon Magar iss ab aur tab ke darmeyaan jo faasla hai Woh hum donno se mil ker bhi samaita jaa nahi sakta Woh ab tak aa nahi saki Main tab ko paa nahi sakta
|
(#1506)
![]() |
|
||||
kisi kamzor lamhey mai
ager tm se yeh keh doon mai mujhey tum se mOHABBAT hay tmm yeh mat samajh laina k…..!!!!! mainey sach kaha ho ga aisi dilnashin baaton ko aisi adaaon mai kehna mujhey bachpan se aata hay meri aankhain,mera chehra mera yeh be sakhta lehja yeh sab kuch jhoot kehta he mager is jhoot main ik sach baaqi hay k…..!!!!!! MUJHEY TuM SE mOHABBAT HE
|
(#1507)
![]() |
|
||||
Nazar ka apna mizaj thehra
Jigar ka apna mizaj thehra Safar ka apna mizaj thehra To ghar ka apna mizaj thehra Hum…..Safar kay rahay na ghar kay rahay Hamara apna mizaaj thehra . Hamari Mae ka mizaj apna Hamari lae ka mizaj apna . Hamari aankhoon kay khaab apnay Dard apnay azaab apnay Meray lahoo rang gulaab apnay Sawaal apnay, Jawaab apnay . Hamaray aangan main chalnay wali HAWA ka apna mizaaj thehra Hamaray seenay main jalnay wali WAFA ka apna mizaaj thehra Kisi ki choukhat pay jhuknay wali ANAA ka apna mizaaj thehra Hamaray sajdoon ko gin’nay walay KHUDA ka apna mizaaj thehra . Ajab riwajoon, Ajab mizajoon kay iss nagar main Tumhara apna mizaaj thehra, Hamara apna mizaaj tehra
|
(#1508)
![]() |
|
||||
Ik roz koi to soche ga
Farzanon ki is basti main Ik shakhs tha pagal pagal sa Par baten theek hi kehta tha Barish ki tarah par shor na tha Darya ki tarah chup rehta tha Jin se use pyar bala ka tha Taane bhi unhi ki sehta tha Ik roz koi to soche ga Dunya ne use kuch bhi na diya Par us ne jag ko pyar diya Jaan rote rote kho betha Dil hanste hanste haar diya Jo nazm likhi bharpoor likhi Jo sher diya shahkar diya Kyoon jite ji dargor hua Kis chah pe tan man har diya Tha dushman kon bechare ka Kis ranj ne us ko maar diya Ik rooz koi to soche ga
|
(#1509)
![]() |
|
||||
terii Khushbuu kaa pataa kartii hai
mujh pe ehasaan havaa kartii hai shab kii tanhaa_ii me.n ab to aksar guftaguu tujh se rahaa kartii hai dil ko us raah pe chalnaa hii nahii.n jo mujhe tujh se judaa kartii hai zindagii merii thii lekin ab to tere kahane me.n rahaa kartii hai us ne dekhaa hii nahii.n varnaa ye aa.Nkh dil kaa ehavaal kahaa kartii hai beniyaaz-e-kaaf-e-dariyaa angusht ret par naam likhaa kartii hai shaam parte hii kisii shaKhs kii yaad koochaa-e-jaaN mein sadaa kartii hai mujh se bhii us kaa hai vaisaa hii suluuk haal jo teraa ana??? kartii hai dukh huaa karataa hai kuchh aur bayaa.N baat kuchh aur huaa kartii hai abr barase to inaayat us kii shaaKh to sirf duaa kartii hai masalaa jab bhii uThaa chiraaGo.n kaa faisalaa sirf havaa kartii hai
|
(#1510)
![]() |
|
||||
terii hii tarah hamein yaad aane vaalaa ho
tere sivaa bhii ko_ii to sataane vaalaa ho har ek subah yahii dil mein huuk uThatii hai hamen bhii naaz se ko_ii jagane vaalaa ho vo kis ummiid mein ghar mein rahein ki jis ghar mein na aane vaalaa ho ko_ii na jaane vaalaa ho har ek se nazaren milaa_ii hain un ke kuuche mein ki jaise ab ko_ii ham ko bulaane vaalaa ho hai dosto ke liye aa_iinaa nazar merii nazar milaaye jo nazarein milaane vaalaa ho ki jaise ko_ii balaa mujhape aane vaalii hai haraas kahataa hai ko_ii bachaane vaalaa ho hamaare shahar mein kyaa kyaa saje-sajaaye hain ghar hamaare ghar ko bhii koii sajaane vaala ho
|
![]() ![]() |
Bookmarks |
Tags |
collection, munda |
|
|
![]() |
||||
Thread | Thread Starter | Forum | Replies | Last Post |
saree collection | AYAZ | Sarees | 24 | 01-11-2012 12:38 PM |
~~~ eid sms collection ~~~ | umair8005 | Urdu Sms | 24 | 11-23-2011 06:01 PM |
~ * ~ Himi SmS CoLLecTiOn ~ * ~ | Hussain | Urdu Sms | 21 | 11-22-2011 02:05 PM |
~~ umair's eid collection ~~ | umair8005 | Urdu Sms | 10 | 11-21-2011 09:41 AM |
sms collection | DI@ | English Sms | 16 | 10-23-2011 03:31 AM |