Members Poetry Collections !! Share your Poetry Collections Here !! |
Advertisement |
![]() ![]() |
|
Thread Tools | Display Modes |
(#21)
![]() |
|
|||
Kaha Tha na…..!
Kaha tha na k Is tarah….Sote hoe Mat Chorh Ker Jana Mujhe Be-shak Jaga Dena, Bata dena, Mohabbat k safar me Saath mere chal nahi sakte, Judaai k Safar me Saath mere chal nahi sakte, Tumhain Rasta badalna tha?? Meri Had se Niklana tha?? Tumhain Kis baat ka der tha?? Kya Tumhain Jaane Nahi deta?? Kahin per Qaid Ker leta?? Are Pagal………! Muhabbat ki Tabiyaat me Zabardasti nahi hoti Jise Rasta badalna ho, Use rasta Badalne se’ Jise Had se nikalna ho, Use Had se nikalne se Na Koi Rok Paya hai, Na koi rok paega Tumhain Kis baat ka der tha?? Mujhe Be-shak jaga deti Bata Deti, Kam az kam Youn to na hota Me Tumko dekh hi leta Tumhe Koi duaa deta Mere Humdum Haqeeqat hai….. Tumhaare Baad Khone k liye Kuch bhi nahi Baqi Mager Khone se derta Hun, Me Ab sone se Derta Hun Me Ab………!
’’بہترین کلام اللہ کا کلام ( قرآن کریم ) ہے اور بہترین ھدایت و طریقہ حضرت محمد صلی اللہ علیہ و سلم کا لایا ھوا دین ہے ۔، |
Sponsored Links |
|
(#22)
![]() |
|
|||
|
(#23)
![]() |
|
|||
![]() ![]() ![]() Hum jo toote to is tarah toote Jase hathon se gir k patthar per Koi shafaaf aaiina toote Jase palkon se toot'te aansoo Jase seene main ik kamaan toote Jase umeed ki nazuk daali BUrg mosam me Na-Gahaan toote Jaise aankhon me khwab ki doori Waqt e takmeel se ulajh jai Jase pairon tale zameen nikle Jase sar par yeh asmaan toote Jase ik shaakh pe bharosa kia Is pe jitne thay aashiyaan toote Jase wehshat se hosh aa jaye Jase ta dair me dheyaan toote Ab jo raiza howe to sochte hain Kis nay dekha tha tootna apna Hum jo toote to raayegaan toote
’’بہترین کلام اللہ کا کلام ( قرآن کریم ) ہے اور بہترین ھدایت و طریقہ حضرت محمد صلی اللہ علیہ و سلم کا لایا ھوا دین ہے ۔، |
(#24)
![]() |
|
|||
Kabhi Jaane Pidar….! Dekha To hoga Tumne Ye Manzar Kahin per Do Parinde Aashyaan apna banate hain To Kuch Din Baad Phir wo Aashyaan abaad hota hai Kai Nau-khaiz bache…Chonch khole…Bazoo’on ko Thar-tharate Muntazir hote hain Chuge K Musalsal Toro Thori Dair me Maa Baap Aaa Aaa ker Unhe Dete hain Chugaa Phir jab un k Per nikalte hain To dono Hosla De Ker Unhe Urnaa sikhate hain Kahan ka urna…wo chalte hoe bhi larkhara jana Zara Per Tolnaa, Or Phir…. Jhijhak ker beth Jana Mager Maa Baap ki Paiham Mushaqqat Rung Lati hai Par-e Parwaaz Khulte hain……. Par-e Parwaaz Khulte hain To phir ye haal hota hai Hawaain Gud-Gudaati hain Fizae-neelgoon Dil Ko lubhaati hai Fiza me Hum Safeeroon ki sada Aawaaz deti hai Parre Hum Jolion k Hain Uraan’ai hain…..Taraane Hain Unhi Hum Jolion me Phir Koi Man Mohni si Sorat Sama Jati hai Dil me.. Phir Wo Dono …. JHUND SE APNE JUDAA HO KER Kisi Shakh-e Shajar Pe Ashyaan Apna Banate hain “PARINDOO KO PURAANE AASHYAAN KAB YAAD REHTE HAIN???” To kya Jaane Pidar……! Tum Bhi Parinda The???? K Apna Ye Puraana Ashyaana Bhool Bethe ho??? Parindoo ko to ulfat Aarzi hoti hain Bachoon se Jawaan hojain To Maa Baap ko Unse Talluq Kuch nahi rehta Mager Insaaan ko Qudrat Ne Paai Aulaad Wo Jazba Diya hai k Jo sulagti Aag ki soorat Dhuwaan deta hi rehta hai Kabhi Thanda nahi hota Tumhari Maaa ki ankhoon se Sulagti Aag Ki Chingariyaan Ashk-e-Rawaan Bun Ker Tapakti hain Mager Us Shola-e-Jaan Soz ka koi Sharara bhi Tumhaare Kharmane Dil Tak Nahi Jaata Masaail ka Ye Pushtaara…. K Jo Meri Kamar Ko tore deta hai Tumhe Is ka bhala Ehsaas kase ho?? K Tum Apni Subuk Sar Zindagi ki Sar khushi K Kaif se niklo To wo Ayyaaam yaad aaain K Jab Tum Apni Maa ki Go'oad ko Jannat Or Apne Baap k Kandhoon ko Hafte Aflaak se Ooncha Samajhte the Wo Jannat….Aj Weeraan hai Wo Kandhe…Zindagi k Bojh se Youn Jhuk Gai Jase Khizaan Deeda Shajar Ki Tehniyaan hun Haan Suno Bete…..! Tumhaari Maa ne Kal Aankhoon me aansoo Rok Ker Or Kaanpte Hontoon se Mujh se Ye Kaha tha K Tum Ab k jo khat likho To Mere Laal ko likhnaa K Betaa…..! “Tera Beta bhi Khudaa Rakhe Siyaana ho to Tum usko Kahin Pardes ko jaane na dena Uski Maa k Paas hi Rakhna” Yea Ghazal OnLonGo kliye hain Jo apna mustaqbil ROSHAN karna k liye apnay peechay kitnaa he apnO'N k khushi'on ..or khuwaishain ka KHOOn kar jaty hain..choor jaaty hain or aik Dil bhoolaa dayta hain...MAA dunia ki sab sy Azeem HAASTI huti hain .. sab sy MUQADDAS bhe.. Hum ko chahiye os ki her khuwaish pori karain ... OR MAA KO KABHI bhe hurt nahin karna chahiye na k os ko chorna chahiye.. jab os na humhare mushKil dino mai humKo nahin chora.. os ki her dua ki pheli dua hum rahay.. to hum os ko bhool k kasy dunia ma magan hu jaty hain or durr buhaat hu jaty hain.. plzz dun GO AWAYz as much .. k wapis ka koi rasta na ho... ALLAH APP sab ko apni HIFZ-OAMan or maa ki panha mai rakhay Ameen ..! Summa Ameen..!
’’بہترین کلام اللہ کا کلام ( قرآن کریم ) ہے اور بہترین ھدایت و طریقہ حضرت محمد صلی اللہ علیہ و سلم کا لایا ھوا دین ہے ۔، |
(#25)
![]() |
|
|||
Mujhe Fursat hi Fursat hai Sawaire Jald Uthna Hai Na Shab Ko Daair se Sona Kahin Bahaar nahi jana Kisi se bhi nahi Milna Na koi fikar lahaq hai Na koi Yaad Hai Baqi Mager ye Akhri Jumla Zara Sa Jhoth lagta hai
’’بہترین کلام اللہ کا کلام ( قرآن کریم ) ہے اور بہترین ھدایت و طریقہ حضرت محمد صلی اللہ علیہ و سلم کا لایا ھوا دین ہے ۔، |
(#26)
![]() |
|
|||
|
(#27)
![]() |
|
|||
|
(#28)
![]() |
|
|||
|
(#29)
![]() |
|
|||
|
(#30)
![]() |
|
|||
Bicharte Lamhoon me Usne Mujh se Kaha Tha Dekho, “Hamari Raahain Juda Juda Hain Mager Hame Aik Doosre ka khayaal rakhna hai Zindagi bhar Kisi bhi Lamha Udasiyoon ki Faseel Haaail na hone dena Hawa k hathoon pe likhte rehna Judaaion k Tamam Qisse Qadam Qadam Pe Jo paish Aaain Wo saanhai bhi nazar me rakhna Me Jab bhi lota To Apne Hontoon ki Tazgi ko Tumhaari Bujhti hoi in Aankhoon me la rakhun ga Jo meri apni hain…Sirf Meri” Bicharte Lamhoon me usne Mujhse Najane kya kuch kaha suna tha Or ab….! Use bhi yahi kahe ga Wo jis k Hathoon me Haath Dale Naye Safar Per nikal para hai
’’بہترین کلام اللہ کا کلام ( قرآن کریم ) ہے اور بہترین ھدایت و طریقہ حضرت محمد صلی اللہ علیہ و سلم کا لایا ھوا دین ہے ۔، |
![]() ![]() |
Bookmarks |
Tags |
dairy, kuch, mari, yaadein |
|
|