Members Poetry Collections !! Share your Poetry Collections Here !! |
Advertisement |
![]() ![]() |
|
Thread Tools | Display Modes |
(#31)
![]() |
|
|||
![]() ![]() ![]() Suno.....! Ehaad Nibhane ki khatir Mat Aana Ehaad Nibhane wale aksar.... Majboori Ya Mahjoori ki Thakan se Lota Kerte hain Tum Jao... Or Darya Darya Pyas Bujhao Jin Ankhoon me bhi Utro Jis Dil me Bhi samao Meri Talab Awaaz Na degi Per Jab Meri Chahat ki Lau Itni Taiz Or Itni Oonchi Hojai Jab Dil Ro de..... Tab Lot Aana
’’بہترین کلام اللہ کا کلام ( قرآن کریم ) ہے اور بہترین ھدایت و طریقہ حضرت محمد صلی اللہ علیہ و سلم کا لایا ھوا دین ہے ۔، |
Sponsored Links |
|
(#32)
![]() |
|
|||
|
(#33)
![]() |
|
|||
|
(#34)
![]() |
|
|||
|
(#35)
![]() |
|
|||
![]() ![]() ![]() Kahin Tum apni Qismat ka likhaa Tabdeel Ker Lete To Shayad Hum Bhi Apna Raasta Tabdeel ker lete Agar Hum Waqai Kum Hosla Hote Mohabbat me Marz Barhne se pehle hi Dawa Tabdeel Ker Lete Tumhaare Saath Chalne per Jo Dil Raazi nahi hota Buhat Pehle Hum Apna Faisla Tabdeel Ker lete Tumhain in Mosamoon ki kya khabar milti ager Hum Bhi Ghutan K Kahuf Se Aab-o-Hawa Tabdeel Ker lete Tumhaari Tarah Jeene ka Hunar Ata To Shayad Phir Makaan Apna Wahi Rakhte....Pata Tabdeel Ker Lete
’’بہترین کلام اللہ کا کلام ( قرآن کریم ) ہے اور بہترین ھدایت و طریقہ حضرت محمد صلی اللہ علیہ و سلم کا لایا ھوا دین ہے ۔، |
(#36)
![]() |
|
|||
Hum Kosovo k Muslim Hain Wo Burg-e-khiza Deeda Hum Hain Jo Raiza Raiza Hone Ko Pairoon Tale Ronde Jaane ko Ya Burf Me Gul Sar Jane Jane ko Apni Shakhoon se Jharte hain Be Jaan se ho ker Girte hain Lekin Gulcheen To Gulcheen hai Khud Maali bhi un Patton ko Is Taur Se Thukraa Deta Hai Jaise Us ka In Patton se Kuch rishta Naata Tha hi Nahi Aaqa (S.W.S.) Ne To Ye farmaya Tha Dunyaaa Me Meri Ummat ko Ik Jism Ki Soorat rehna hai Her Dukh Mil Jul Ker Sehnaa hai Per Hum To Is Dukh Saagar me Hijrat k Safar me Tanha hi Youn Behte Jaate hain Jase Tooti Kashti K Takhte hun Ye Burf K Jhakkar Bhi Be Shak Jismoon ko Galai dete hain Lekin Us Se Bhi Kuch Berh Ker Ye Dard Hame Tarpata hai….. (Dil Kat Kat ker Reh Jata hai) “DUNYA ME HAMARA KOI NAHI Kehne Ko Karoooroo’n Muslim hain Per Apna Sahara Koi Nahi Kehte hain Hamare Kuch Bhai Ab Dard Bataane Aain ge Kuch Aas Bandhane aain ge…. Ankhain Pathrai Jati Hain Dil Reh Reh Ker Ye Kehta Hai “Wo Aas Bandhane Aain ge Ya…Kosovo k Madfan ki In Lambi Lami Qabroon per Kuch Phool Char’hane aain ge??” yea nazm aajjj kal k muslim hallaat per hain k hum muslim buss kisi moujizay k intezaar mai hain..or sab bhoolay baithay hain .. or aapas mai lar lar k he tukray tukray huwaay ja rahay hain .. kya humeraaay halaat aaisay he rahaygaa?kya hum bus kisi ka wait kartaaay reh jaigaa or kuch nahin ? haaan? ALLAH SAB ko naik heedayaat day AMEEN ..!
’’بہترین کلام اللہ کا کلام ( قرآن کریم ) ہے اور بہترین ھدایت و طریقہ حضرت محمد صلی اللہ علیہ و سلم کا لایا ھوا دین ہے ۔، |
(#37)
![]() |
|
|||
Dil Hijr K dard Se Bojhal Hai,ab Aaan Milo To Behter Ho Is Baat Se Humko Kya Matlab,Ye Kase Ho Ye Kyun ker ho?? Ik Bheek k Dono Kaa’se Hain,Ik Pyaas k Dono Pyase hain Hum Khaiti hain,Tum Badal Ho,Hum Nadya hain,Tum Sagar Ho Hum Sanjh Same ki chaya hain,Tum Charhti Raat K Chander Maa’an Hum Aate Hain,Tum Jate ho,Phir Mail Ki Sorat kyun ker ho Ab Husn Ka Rutbaa Aali Hai,Ab Husn Se Sehra Khali hai Chal Basti me Bunjara Bun,Chal Nagri me Soda Ger ho Jis Cheez se Tujhko Nisbat Hai,Jis Cheez se tujh ko Chahat hai Wo Sona Hai,Wo Heera Hai,Wo Maati Ho Ya Kunkar ho Wo Raatain Chand K Saath Gain,Wo Baatain Chand k Sath Gain Us Sukh k Sapne dekhe kyun,Jab Dukh ka soraj sir per Ho Ab Insha Ji Ko Bulana Kya,Ab Pyaar k Deep Jalana Kya?? Jab Dhoop Or Chaya Aik se hoon,Jab Din Or Raat Baraber hoon .. By: IBN-E-INSHA (INSHA JEE)
’’بہترین کلام اللہ کا کلام ( قرآن کریم ) ہے اور بہترین ھدایت و طریقہ حضرت محمد صلی اللہ علیہ و سلم کا لایا ھوا دین ہے ۔، |
(#38)
![]() |
|
|||
Mere Dil…..! Mere Musaafir…..! Hoa phir se Hukum Saadir K Watan Badar Ho Hum Tum Dain Gali Gali Sadain Karain Rukh Nagar Nagar Ka K Suraagh koi Paain Kisi Yaar-e-Nama Ber Ka Her Ik Ajnabi Se Poochain….. Jo Pata Tha Apne Ghar ka Sare Koe Na Shanayyan Hamain Din Se Raat Kerna Kabhi Is se Baat kerna Kabhi Us Se Baat Kerna Tumhain Kya Kahoon k Kya hai… “Shabe Ghum Buri Bala Hai” Hame Ye Bhi Tha Ganeemat Jo Koi Shumaar hota “Hamain Kya Bura Tha Marna….Ager Aik Baar hota”
’’بہترین کلام اللہ کا کلام ( قرآن کریم ) ہے اور بہترین ھدایت و طریقہ حضرت محمد صلی اللہ علیہ و سلم کا لایا ھوا دین ہے ۔، |
(#39)
![]() |
|
|||
Hawa Us se Kehna K Shehre Dil Me ab koi sa Ho Mosam…. Theherta nahi hai Mohabbat ka ya beqarari ka Mosam Bharose ya Be Aitebaari Ka Mosam Ho Be-Chain Rehne Ya Kerne Ka Mosam Youn hi besabab Jeen Marne ka Mosam Judaai k Khadshoon se Darne Ka Mosam Wafaaon ka Ya Bewafai ka Mosam Murawwat Ka Ya Kuj Adai ka Mosam Ya Phir..Dil Nasheen Sher Kehne Ka Mosam Shanasai k Dard Sehne Ka Mosam Ya Aya Ho Ashkoon k Behne Ka Mosam Ya Tere Khyaloon Me Rehne Ka Mosam Hawa Us se Kehna…..! Koi Sa Ho Mosam Wo Ab….Shehr-e-Dil Me Theherta Nahi Hai
’’بہترین کلام اللہ کا کلام ( قرآن کریم ) ہے اور بہترین ھدایت و طریقہ حضرت محمد صلی اللہ علیہ و سلم کا لایا ھوا دین ہے ۔، |
(#40)
![]() |
|
|||
![]()
|
![]() ![]() |
Bookmarks |
Tags |
dairy, kuch, mari, yaadein |
|
|