Members Poetry Collections !! Share your Poetry Collections Here !! |
Advertisement |
![]() ![]() |
|
Thread Tools | Display Modes |
(#53)
![]() |
|
|||
![]() ![]() ![]() Kal Humne Sapna Dekha Hai Jo Apna Ho Nahi Sakta Us Shakhs Ko Apna Dekha hai Wo Shakhs k Jiski Khatir Hum Is Des Phirain Us Dais Phirain JogI Ka Bana Ker Bhais Phirain Chahat K nIrale Geet Likhain Ji Mohne Wale Geet Likhain Dharti K Mehakte Baghoon se Kalyoon ki Jholi Bhar Lain Amber k Sajeele Mandal se Taroon ki Doli Bhar Lain Haan kis k liye???....Sab Us k liye Wo Jis k Lab Per Taisu Hain Wo Jis k Naina Aahu Hain Jo Khaar bhi Or Khushbu Bhi Jo Dard Bhi Hai Or Daru Bhi Wo Ul'lhar si wo Chanchal si Wo Shayer si Wo Pagal Si Log Aap hi Aap Samajh Jain Hum Naam Na Uska Batlain Ai Dekhne wale Tumne Bhi Us Naar ki Peet ki Aanchoon me Is Dil K Tapna Dekha Hai??? Kal Humne Sapna Dekha Hai.....
’’بہترین کلام اللہ کا کلام ( قرآن کریم ) ہے اور بہترین ھدایت و طریقہ حضرت محمد صلی اللہ علیہ و سلم کا لایا ھوا دین ہے ۔، |
(#54)
![]() |
|
|||
|
(#55)
![]() |
|
|||
|
(#56)
![]() |
|
|||
![]() ![]() ![]() Tu Nai Dekha Hai Kabhi Aik Nazer, Shaam K Baad..
Kitnay Chup Chaap Se Lagtay Hain, Shaam K Baad.. Itnay Chup Chaap K Rastay Bhee Rahain gay La-ILm Chhorr JayeNgay Kisee Roz Nager Shaam K Baad.. Main Nai Aisay Hi Gunaah Teri Judai Main Kiye.. Jesay ToofaN Main Koi Chorr De Ghar Shaam K Baad.. Shaam Se Pehlay Wo Must Apni URRaanoun Main Raha Jis K Haatho'n Main Thay Tootay Hoye Per Shaam K Baad.. Raat Beeti To Ginay Aablay Aur Phir Socha.. Kon Tha Bais-E-Aaghaaz-E-Safar Shaam K Baad.. Tu Hai Sooraj Tujhay Maaloom Kahaan Raat Ka Dukh.. Tu Kisee Roz Miray Ghar Main Utar Shaam K Baad.. Lot Aaye Na Kisee Roz Wo Aavaara Mizaaj Khol Rakhtay Hain Isee Aas Pe Dar Shaam K Baad..
’’بہترین کلام اللہ کا کلام ( قرآن کریم ) ہے اور بہترین ھدایت و طریقہ حضرت محمد صلی اللہ علیہ و سلم کا لایا ھوا دین ہے ۔، |
(#57)
![]() |
|
|||
|
(#58)
![]() |
|
|||
|
(#59)
![]() |
|
|||
![]() ![]() ![]() Hontoon Pe Muhabbat K Fasane Nahi Aate Sahil Pe Samander k Khazane Nahi Aate Palkain Bhi Chamak Uthti Hain sone Me Hamari Aankhoon ko abhi khwaab Chupane Nahi Aate Dil Ujri Hoi Aik Sarai ki Tarah Hai Ab Log Yahan Raat Jagane Nahi Aate Yaroon Naye Mosam Ne Ye Ehsaan kiye Hain Ab Yaad mujhe Dard Purane Nahi Aate Urne Do Parindo ko Abhi Shokh Hawa Me Phir Laut K Bachpan K Zamane Nahi Aate Is Sheher K Badal Teri Zulfoon ki tarah Hain Ye Aag Lagate Hain Bujhane Nahi Aate Ahbaab Bhi Gairoon ki Ada Seekh Gaye Hain Aate Hain Mager Dil ko Dukhaane Nahi Aate this is ma one of faov GHazaL..!
’’بہترین کلام اللہ کا کلام ( قرآن کریم ) ہے اور بہترین ھدایت و طریقہ حضرت محمد صلی اللہ علیہ و سلم کا لایا ھوا دین ہے ۔، |
(#60)
![]() |
|
|||
Meray Sabar Ka Na Lay Imtehan Meri Khamoshi Ko Sada Na Day Jo Teray Baghair Na Jee Sakay Usay Jeenay Ki Tu Dua Na Day, Tu Azeez Dil-o-nazar Say Hai Tu Qareeb Rag-o-jan Say Hai Meray Jism-o-jan Ka Yeh Faasla Kaheen Waqt Aur Barha Na Day, Tujhay Bhool K Na Bhula Sakoon Tujhay Chah K Bhee Na Paa Sakoon Meri Hasraton Ko Shumaar Kar Meri Chahaton Ka Sila Na Day, Wo Tarap Jo Shula-e-jan Main Thi Meray Tann Badan Say Lipat Gayi Jo Bujha Sakay To Bujha Isay Na Bujhaa Sakay To Hawaa Na Day, Tujhay Agar Milain Kabhi Fursatain Meri Sham Phir Say Sanwaar Day Agar Qatal Karna Hai To Qatal Kar Yun Judaiyon Ki Saza Na Day!! Yun Judaiyon Ki Saza Na Day!
’’بہترین کلام اللہ کا کلام ( قرآن کریم ) ہے اور بہترین ھدایت و طریقہ حضرت محمد صلی اللہ علیہ و سلم کا لایا ھوا دین ہے ۔، |
![]() ![]() |
Bookmarks |
Tags |
dairy, kuch, mari, yaadein |
|
|