Miscellaneous/Mix Poetry !! All Miscellaneous/Mix poetry share here !! |
Advertisement |
![]() ![]() |
|
Thread Tools | Display Modes |
(#82)
![]() |
|
|||
![]() ![]() ![]() ![]() ![]() besan kee sondhee rotee par khattee chatanee jaisee maa'n yaad aatee hai chaukaa-baasan chimataa phukanee jaisee maa'n baans kee khurree khaat ke oopar har aahat par kaan dhare aadhee soee aadhee jaagee thakee dopaharee jaisee maa'n chidiyon ke chahakaar mein goonje raadhaa-mohan alee-alee murge kee aavaaz se khulatee ghar kee kundee jaisee maa'n bivee, betee, bahan, padosan thodee thodee see sab mein din bhar ik rassee ke oopar chalatee natanee jaisee maa'n baant ke apanaa cheharaa, maathaa, aankhein jaane kahaan gaee phate puraane ik album mein chanchal ladakee jaisee maa'n ![]()
’’بہترین کلام اللہ کا کلام ( قرآن کریم ) ہے اور بہترین ھدایت و طریقہ حضرت محمد صلی اللہ علیہ و سلم کا لایا ھوا دین ہے ۔، |
(#83)
![]() |
|
|||
|
(#84)
![]() |
|
|||
![]() ![]() Maan Meri Maan Men kia likhon teri hasti ke liay Men lafzon men kese tashbeh don tere piyar ki Meri zaat ko jo bakhsha hay tone us rang ko kia naam doon Men aks hoon teri zaat ka Men tujh se kese juda rahon Bas ashk hain meri ankhon men Men kia kahon Men kia likhon Bas tere peron ki dhool hoon Bas tere peron ki dhool hoon ![]()
’’بہترین کلام اللہ کا کلام ( قرآن کریم ) ہے اور بہترین ھدایت و طریقہ حضرت محمد صلی اللہ علیہ و سلم کا لایا ھوا دین ہے ۔، |
(#85)
![]() |
|
|||
![]() ![]() ![]() ![]() ![]() Zindagi ki tapti dhoop mai ek thanda saya paya hai mai ne Jab kholi aankh to apni maa ko muskorata howa paya hai mai ne Jab bhi maa ka naam liya, os ka beshomaar pyar paya hai mai ne Jab koi dard mehsoos howa, jab koi mushkil aayi Apne pehlo mai apni maa ko paya hai mai ne Jaagti rahi who raat bhar mere liye Jaane kitni raatein, osay jaghaya hai mai ne Zindagi ke har moadh(mor) par, jab huwa gumrah mai Iski hidaayat par, pakkar li seedhi raah mai ne Jis ki dua se har moseebat loat jaye, aisa farishta paya hai mai ne meri har fiker ko jan'nay wali, mere jazbaaton ko pehchan'nay wali, aisi hasti payi hai mai ne Meri zindagi sirf meri maa hai, Isi ke liye to,Is zindagi ki shama jala rakkhi hai mai ne...... ![]()
’’بہترین کلام اللہ کا کلام ( قرآن کریم ) ہے اور بہترین ھدایت و طریقہ حضرت محمد صلی اللہ علیہ و سلم کا لایا ھوا دین ہے ۔، |
(#86)
![]() |
|
|||
![]() ![]() ![]() ![]() ![]() Raat Phir Khuwaab Main Aa Kar Mujhse Meri Ammi Ne Kuch Sawaal Kiye Usse Pahley Mujhey Duaa Ye Di Khuda Karey Ke Tu Sau Saal Jiye Unki Aankhon Main Mohobbat Bhi Thi Afsos Bhi Tha Ek Aanso Bhi Tha Un Aankhon Main Jo Chillata Bhi Tha, Khamosh Bhi Tha Mujhse Poocha Ke Betey Kaisey Ho Koi Diqqat To Nahin Hai Tumko Phir Kaha!!!! Tumko Maloom Hai Kya Main Bari Takleef Main Hoon Jab Se Laiti Hoon So Nahin Payee Tumhaari Wajah Se Main Khul Ke Ro Nahin Payee Terey Gunaah Mujhko Saanp Banke Danstey Hain Farishtey Aakar Har Roz Fiqrey Kastey Hain Tumhi Bataao Beta Mainey Kya Kami Ki Thi Merey Samjhaney Main Kami Thi Kya Ya Meri Tarbiyat Adhoori Thi Kyon Burey Kaam Roz Kartey Ho Kyon Nahin Us Khuda Se Dartey Ho Jisney Tumko Ye Jaan Bakshi Hai Jisney Tumko Amaan Bakshi Hai Laut Kar Jiske Paas Jaana Hai Kya Usey Munh Nahin Dikhana Hai Kya Tumhein Is Liye Padhaya Tha Kya Tumhein Yehi Sab Sikhaya Tha Ki Apney Ilm Par Ghuroor Karo Apney Nafs Ko Masroor Karo Jab Bhi Bolo To Bas Galat Bolo Zulm Dekho To Lab Nahi Kholo Chorkar Deen Bhool Kar Mazhab Apni Auqaat Note Main Taulo Sach Batao Ki Kya Ye Qissa Hai Kya Ye Andaaz Meri Tarbiyat Ka Hissa Hai Mujhko Afsos Nahin Ke Tu Mujhey Bhool Gaya Ranj Ye Hai Ki Mera Jeena Hi Fizool Gaya Main To Jee Key Bhi Roz Marti Hoon Main Tujhey Roz Yaad Karti Hoon Jis Tarah Jeeney Ka Aghaaz Kiya Hai Tuney Uskey Anjaam Se Main Darti Hoon Khuda Karey Ki Tujhey Ab Bhi Samajh Aa Jaye Koi To Aakey Tujhey Seedhee Raah Dikha Jaye Ki Ikhtitaam Ho Teri Gunah Ki Shaamon Ka Mujhey Bhi Ajr Miley Terey Naik Kaamon Ka ![]()
’’بہترین کلام اللہ کا کلام ( قرآن کریم ) ہے اور بہترین ھدایت و طریقہ حضرت محمد صلی اللہ علیہ و سلم کا لایا ھوا دین ہے ۔، |
(#87)
![]() |
|
|||
|
(#88)
![]() |
|
|||
![]() ![]() ![]() ![]() ![]() Khuda na maan ki hasti kaisi hai banai ke us jaisi na koi naymat mai ne paai samajh nahi aata kaisey bataon tujhe ke kitna pyar hai apni maan se mujhe maan se barh kar nahi koi mere liye mujhe paalnay me kitne jatan kiye har muaamle me hamesha mera saath dya kabhi kisi sahih kaam ko mana na kya ghalat baat per hamesha us ne mujhe toka kisi se bhalai karnay per na kabhi roka usi se mila mujhe badon ke adab ka tasawwur hamesha kaha ke na karo kabhi bhi takabbur ![]()
’’بہترین کلام اللہ کا کلام ( قرآن کریم ) ہے اور بہترین ھدایت و طریقہ حضرت محمد صلی اللہ علیہ و سلم کا لایا ھوا دین ہے ۔، |
(#89)
![]() |
|
|||
![]() ![]() Jab Tu Peda Howa Kitna Majbour Tha Yeh Jahan Teri Socho Se Bhi Dour Tha Hath Paon Bhi Tab Tere Apne Na The Teri Ankhon Main Duniya Ke Sapne Na The Tujh Ko Ata Tha Sirf Rona Hi Tha Doodh Pe Ke Kaam Tera Sona Hi Tha Tujh Ko Chalna Sikhaya Tha Maan Ne Teri Tujh Ko Dil Main Basaya Tha Maan Ne Teri Maan Ke Saye Main Parwan Chalne Laga Waqt Ke Sath Qad Tera Barne Laga Ahista Ahista Tu Kariyal Jawan Ho Giya Tujh Pe Sara Jahan Mehrban Ho Giya Zor Bazoo Pe Tu Baat Karne Laga Khood Hi Sajne Laga Khood Hi Sanwarne Laga Aik Din Ik Haseena Tujhe Bha Gayi Ban Ke Dulhan Woh Tere Ghar Agayi Farz Apne Se Tu Dour Hone Laga Bij Nafrat Ka Khood Hi Tu Bone Laga Pheer Tu Maan Baap Ko Bhi Bhulane Laga Teer Bato Ke Pheer Tu Chalane Laga Baat Be Baat Unn Se Tu Ladne Laga Qayda Ik Naya Tu Pheer Padne Laga Yaad Kar Tujh Se Maan Ne Kaha Ik Din Abb Humara Guzara Nahi Tere Bin Sunn Ke Yeh Baat Tu Tesh Main Agiya Tera Gussa Teri Aqal Ko Kha Giya Josh Main Aake Tu Ne Yeh Maan Se Kaha Main Tha Khamosh Sub Dekhta Hi Raha Aaj Kehta Hoon Peecha Mera Chor Do Jo Hai Rishta Mera Tum Se Woh Tor Do Jao Ja Ke Kahin Kaam Dhanda Karo Log Marte Hain Tum Bhi Kahin Ja Maro Beth Kar Ahain Bharte The Woh Raat Bhar Inki Ahon Ka Tujh Par Howa Na Asar Aik Din Baap tera Chala Roth Kar Kese Bikhri Thi Pheer Teri Maan Tout Kar Pheer Woh Be Bass Ajal Ko Bhulati Rahi Zindagi Isko Har Roz Satati Rahi Aik Din Mout Ko Bhi Taras Agiya Iska Rona Bhi Taqdeer Ko Bha Giya Ashk Ankhon Main The Woh Rawana Howi Mout Ki Aik Hichki Bhana Howi Ik Sukoon Isk Chehre Pe Chane Laga Pheer Tu Mayyat Ko Iski Sajane Laga Muddatain Ho Gayi Aaj Buda Hai Tu Jo Para Touti Khatiya Pe Kora Hai Tu Tere Bache Bhi Abb Tujh Se Darte Nahi Nafrate Hain Muhabbat Woh Karte Nahi Dard Main Tu Pukare Ke O MERI MAAN TERE DAM SE ROSHAN THE DONO JAHAN Waqt Chalta Rahe Waqt Rukta Nahi Tout Jata Hai Woh Jo Ke Jhukta Nahi Bann Ke Ibrat Ka Tu Abb Nishan Reh Giya Dhonde Zor Tera Kahan Reh Giya Tu EHKAM-E-RABBI Bhulata Raha APNE MAAN BAAP KO TU SATATA RAHA Kaat Le Tu Wohi Tu Ne Boya Tha Jo Tujh Ko Kese Mile Tu Ne Khoya Tha Jo Yaad Kar Ke Giya Dor Rone Laga Kal Jo Tu Ne Kiya Aaj Hone Laga Mout Mange Tujhe Mout Aati Nahi Maan Ki Surat Nigahon Se Jati Nahi Tu Jo Khanse Tu Aulad Dante Tujhe Tu Hai Nasoor Sukh Kon Bante Tujhe Mout Ayegi Tujh Ko Magar Waqt Par Bann Hi Jaye Gi Qabar Teri Waqt Par QADAR MAAN BAAP KI AGAR KOI JAAN LE APNI JANNAT KO DUNIYA MAIN PEHCHAN LE Aur Leta Rahe Woh Baro Ki Dua Is Ke Dono Jahan Iska Ka Haami KHUDA Yaad Rakhna Tu Sha-ir Ki Is Baat Ko Bhool Na Jana REHMAT KI BARSAT Ko ![]()
’’بہترین کلام اللہ کا کلام ( قرآن کریم ) ہے اور بہترین ھدایت و طریقہ حضرت محمد صلی اللہ علیہ و سلم کا لایا ھوا دین ہے ۔، |
(#90)
![]() |
|
|||
![]() ![]() maa'n! mujhe neend nahi aati hai aik muddat se mujhe neend nahi aati hai maa'n mujhe lori sunao na sula do na mujhe maa'n mujhe neend nahi aati hai rat jagay ab to muqaddar hain meri palkon k neend aye to liye aati hai baghdad ki yad ankh lagte hi koi baiva utha deti hai pait kitna hi bharoon bhook nahi mit'ti hai jalte basra ki mujhe piyas jaga deti hai koi qandahar ki wadi se bulata hai mujhe zikar qandooz ka aye to mujhe lagta hai kaat k sar koi ----- hansta hai , jalata hai mujhe bam ki awazain mujhe kuch nahi kehti hain magar zakhm in bachon k sonay nahi dete hain mujhe maa'n! meri ankhain to pathar ki hoi jaati hain nojawa'n laashay yeh ronay nahi dete hain mujhe mere seenay pe rakho hath rula do na mujhe .... maa'n mujhe lori sunao na sula do na mujhe maa'n mujhe neend nahi aati hai aik muddat se mujhe neend nahi aati hai . ~WASI SHAH~ ![]()
’’بہترین کلام اللہ کا کلام ( قرآن کریم ) ہے اور بہترین ھدایت و طریقہ حضرت محمد صلی اللہ علیہ و سلم کا لایا ھوا دین ہے ۔، |
![]() ![]() |
Bookmarks |
Tags |
maa, naam |
|
|
![]() |
||||
Thread | Thread Starter | Forum | Replies | Last Post |
~~ Dosti k naam pay ~~ | umair8005 | Urdu Sms | 12 | 11-22-2011 02:02 PM |
Tere Naam | Sweety_1 | Share Your Favourite Videos | 8 | 06-01-2011 02:08 PM |
-- * us k naam *-- | Hussain | Image Poetry | 10 | 07-22-2010 04:17 PM |
~ ** Kisi k naaM ** ~ | zaib khan | Miscellaneous/Mix Poetry | 7 | 01-10-2009 03:02 PM |
Naam Tera | Janeeta | Miscellaneous/Mix Poetry | 7 | 12-14-2008 12:17 AM |