Miscellaneous/Mix Poetry !! All Miscellaneous/Mix poetry share here !! |
Advertisement |
![]() ![]() |
|
Thread Tools | Display Modes |
(#1)
![]() |
|
|||
kahin aur ho na yeh hadsa koi raastay mein judaa na ho mere ghar se raat ki sej tak vo ik aansu ki lakir hai zaraa barh ke chand se puchna vo isi taraf se gayaa na ho sar-e-shaam Thehari hui zamin, aasman hai jhuka hua isi mod par mere vaaste vo chiraagh le kar khada na ho vo farishtay aap hi Dhoondiye kahaniyon kii kitaab mein jo buraa kahein na buraa sunay koi shaKhs un se Khafa na ho vo visaal ho ke firaaq ho teri aag mahakegii ek din vo gulaab ban ke khilegaa kyaa jo chiragh ban ke jalaa na ho mujhe yun lagaa ki Khaamosh Khushbu ke hont titali ne chu liye inhi zard patton ki oT mein koi phool soyaa huaa na ho isii ehatiyaat mein main rahaa, isi ehatiyaat mein vo rahaa vo kahan kahan mere saath hai kisi aur ko ye pata na ho
|
Sponsored Links |
|
(#2)
![]() |
|
|||
|
(#3)
![]() |
|
|||
|
![]() ![]() |
Bookmarks |
Tags |
dua, karo |
|
|