Miscellaneous/Mix Poetry !! All Miscellaneous/Mix poetry share here !! |
Advertisement |
![]() ![]() |
|
Thread Tools | Display Modes |
(#1)
![]() |
|
|||
![]() Kehte hai duniya wale kyo kabar ,mere is naye makaan ko Ye naya ghar mera ,tajmahal se jyada khoob surat hai, Sakoon mila na jeete jee mujhe,ek pal ka us duniya mein Is tanhai mein jannat sa sakoon paya hai, Waha jaha pairo tale,khud aapna saya kuchal jata tha Yaha is mitti ki chadar ne mujhe kitna aaraam diya hai, Na yaha pe aansoo hai ,na hi gam ya dard kisi baat pe Meri maut ne mera har dard bhulaya,har aansu chupaya hai, Us duniya ki jag-magahat mei,bheed mein bhi tanhai thi Is kabar ke sannato ne aaj kitna shor machaya hai, Khela tha jiske aanchal tale,us maa ne ehsan kar diya Kafan ki jagah mere chehre ko us ne,mamta ke aanchal se dhak diya, Thak jate the kadam beech raah mei,kandhe par bitha leti thi Baba ne mere aakhari safar mei mujhe aapne kandho ka sahara diya hai, Zindgi ki rahoon me jis ne meri ungli pakad kar chalna sikhaya In kabar ke andhero mai bhi unhone mujhe rasta dikhaya hai, Kaha maine na jao yaha mujhe chodh ke akela,dar lagta hai mujhe in andhero se Kya karenge woh,jab saanso ne hi dhadkano se rishta nahi nibhaya hai, Boli maa,so ja mere bacche in andhero mei tujhe sadiyon rehna hai Haar gai aaj mai,isiliye farishto ke hawale aaj tujhe kiya hai, Maine kaha ma,aansoo na baha mujhe dar nahi lagta in andhero se Samajh lena aap ne aapni bacchi ka ghar basa kar use vida kiya hai, Gaye ghar meri maa aur abbu,gale se lagaya,kaha mujhe khuda hafis Hafis ab khuda hai mera,meri rooh ka woh rakhwala hai, Yaad ati hai ma ki god jis pe sar rakh ke har raat guzari thi Is sard mitti ki chadar mei,maa ki god ki thandak samai hai, Yeh kaisi aahat hai jo badh rahi hai mere kariib dheere dheere Na jagana mujhe,maine sadiyo baad aapni aankho ko band paya hai, Kaise sambhalu mai in bejaan dhadkano ko Mera sanam mujhe khoobsurat gulabo se sajane aya hai, Jo na tha wakif mere kisi dard se,jab mai saans leti thi Aaj usne meri kabar ko na jane kyo aashqon se bhigoya hai, Ya khuda ,doob na jaye mera ghar in aashqon ke sailaab main Mere ghar ko na tabah karo,yeh mera aakhari thikana hai...........///
![]() ![]() ![]() ![]() |
Sponsored Links |
|
(#2)
![]() |
|
|||
|
(#3)
![]() |
|
|||
|
(#4)
![]() |
|
|||
|
(#5)
![]() |
|
|||
|
(#6)
![]() |
|
|||
|
(#7)
![]() |
|
|||
|
(#8)
![]() |
|
|||
|
![]() ![]() |
Bookmarks |
Tags |
eqabar, sakoon |
|
|
![]() |
||||
Thread | Thread Starter | Forum | Replies | Last Post |
~~~ qabar ka haal ~~~ | umair8005 | Hadees Shareef | 14 | 08-16-2012 01:30 AM |
Qabar Ka Haal... | SHAYAN | Hadees Shareef | 10 | 08-09-2012 02:29 AM |
Mohabbat Dil Ka Sakoon | RAJA_PAKIBOY | Share Your Favourite Videos | 9 | 05-31-2011 06:39 PM |
~*~Dil Aur rooh Ka Sakoon(NAAT) Dil Chata hay Sounti he jaoun...~*~ | (¯*♥¤»ƙɧՄՏɧՅԾԾ«¤♥*¯) | Share Your Favourite Videos | 13 | 08-10-2010 03:47 AM |
Qabar | AFghani_Laila | Say For Islam | 17 | 07-19-2010 09:07 AM |