Miscellaneous/Mix Poetry !! All Miscellaneous/Mix poetry share here !! |
Advertisement |
![]() ![]() |
|
Thread Tools | Display Modes |
(#1)
![]() |
|
|||
![]() ![]() ![]()
Dasht-e-hijraa.n mein na saaya na sada teray baad Kitnay tanha hain teray aabla-pa teray baad Koi peghaam na dildaar-e-nava teray baad Khaak uraati hui guzri hai saba teray baad Lab pe ik harf-e-talab tha na raha teray baad Dil mein taaseer ki khahish na dua teray baad Aks-o-aaina mein ab rabt ho kiya teray baad Hum to phirtay hain khud apnay se khafa teray baad Dhoop aariz ki na zulfon ki ghata teray baad Hijr ki rut hai keh habs ki fiza teray baad Liye phirti hai sar-e-koo-e-jafa teray baad Parcham-e-tar garebaa.n ko hava teray baad Perahan apna na salamat na qaba teray baad Bus vahi hum hain vahi sehra ki rida teray baad Nikhat-o-ney hai na dast-e-qaza teray baad Shaakh-e-jaa.n per koi ghuncha na khila teray baad Dil na mehtaab se ujla na jala teray baad Aik jugnu tha chup chaap bujha teray baad Dard seenay mein hua nauha-sara teray baad Dil ki dharkan hai ke maatam ki sada teray baad Kaun se rango.n ke bhanvar kesi hina teray baad Apna khoon meri hatheli pe saja teray baad Tujh se bichra to murjha ke hava-burd hua Kaun deta mujhay khilnay ki dua teray baad Aik hum hain ke be barg-o-nava teray baad Varna aabaad hai sab khalq-e-Khuda teray baad Aik qayaamat ki kharaashain meray chehray pe sajeen Aik mehshar meray andar se utha teray baad Aye falak-e-naaz meri khaak nishaani teri Main ne matti pe tera naam likha teray baad Tu ke simta to rag-e-jaa.n ki hadon mein simta Main ke bikhra to sameta na gaya teray baad Ye alag baat hai ke afshaa.n na hua tu varna Main ne kitna tujhay mehsoos kiya teray baad Milnay vaalay kayee mafhoom pehen ker aaye Koi chehra bhi na aankhon ne parha teray baad Bujhay jaatay hain khad-o-khaal manaazir afaq Phelta jaata hai khaahish ka khala teray baad Meri dukhti hui aankhon se gavaahi lena Main ne socha tujhay apnay se siva teray baad Seh liya dil ne teray baad malaamat ka azaab Varna chubhti hai rag-e-jaa.n mein hava teray baad Jaan-e-Mohsin mera haasil yehi mubham satrain Sher kehnay ka hunar bhool gaya teray baad
Main Tere Hath Pe Rach Jaon Rango Ki Tarha, Tu Mera Naam Hathon Pe Kabhi Saja Kar To Daikh.. |
Sponsored Links |
|
(#2)
![]() |
|
|||
![]() ![]() ![]() |
(#3)
![]() |
|
|||
![]() ![]() ![]() |
(#4)
![]() |
|
|||
![]() ![]() ![]() |
(#5)
![]() |
|
|||
![]() ![]() ![]() |
(#6)
![]() |
|
|||
![]() ![]() ![]() |
![]() ![]() |
Bookmarks |
Tags |
baad, dasht, hijran, mein, sada, saya, tere |
|
|
![]() |
||||
Thread | Thread Starter | Forum | Replies | Last Post |
|dasht e tanhai mein| | Hussain | Urdu Sms | 10 | 11-21-2011 09:48 AM |
|~*~woh dasht -e- khamoshi mein ~*~| | Hussain | Miscellaneous/Mix Poetry | 8 | 07-27-2010 02:28 AM |
Mein ke phir dasht-e rifaqat ka safar ker aaya | momal ali | Miscellaneous/Mix Poetry | 7 | 12-10-2009 01:53 PM |
Dasht-e-Hijeran Main Saya na Sada teray baad | (¯*♥¤»ƙɧՄՏɧՅԾԾ«¤♥*¯) | Miscellaneous/Mix Poetry | 3 | 12-03-2009 03:13 PM |
atish e Hijraan Mein Saya | A L i | Miscellaneous/Mix Poetry | 11 | 08-18-2009 07:23 PM |